Mangalore: Social Democratic Party of India ( SDPI ) Karnataka ke reyasti naib sadar Advocate Majeed Khan neh Mangolre Press Club mein ek press conference se khitaab kiya. Jis mein unhoun neh kaha ke mulk bhar mein Covid ke waqeat mein izafah ho raha hai. Hamari riyasat Karnataka mein bhi ye bemari taizi se phail rahi hai. Aisay mein Karnataka hukoomat neh corona ke ilaaj ke liye niji Hospitals ko mauqa faraham kiya hai. Lekin niji Hospitals neh mareezoun ka mann maani bil bananay ke zariye raqam loutne ka mamool bana liya hai. Pehlay se hi corona se khauf zada logoun ko is neh mazeed dehshat mubtala kardeya hai.
Niji Hospitals mein Covid ki jaanch ke liye 4500/ – ki raqam ke sath Doctors ke liye PEE Kits ke naam se mazeed 8000/- ki raqam wusool ki jarahi hai. Mareezoun ko rozana ka 15 taa 20 hazaar ka mehanga bil bana kar corona ko tijarat bananay ki soorat e haal peda hogayi hai. Banglore ke aksar Hospitals mein aam bimarioun ka ilaaj karne se inkaar karne ki reports mousool horahee hain. Is ki wajah se logoun ko Emergency ilaaj ke baghair mushkilaat ka saamna kar rahay hain. Niji Hospitals ki lout maar ke dhande ke mutaliq aur Lab test ke baaray mein shukook o shobab haat ko awam me nay samaji Websites mein zahir kiya hai.
Pair dard, Zichki ya kisi bhi qisam ki choti si bemari ke ilaaj ke liye niji Hospitals ka rukh karne par zabardasti corona test karanay ke sath ziyada tar mareezoun ko report misbet aana, Isi terhan manfi bata kar ghar bhejnay waloun ko baad mein misbet batakar hospital mein admit karne ke waqeat bhi samnay aayi hain. Is ki wajah se loog Hospitals ko janey se dar kar gharoun mein hi rehtay hue mout ka shikaar honay ki soorat e haal bhi peda ho gayi hai.
SDPI ke reyasti leaders aur janoobi Karnataka zila committee neh press conference mein kaha ke corona jaisay mohlik virus se awam khauf zada hain aur is ka faida uthakar niji Hospital lout maar ka dhanda kar rahi hain. Muashi tor par kamzor aur ghareeb logoun is se mutasir ho rahay hain. Medical mafia ko agar hukoomat neh roknay ke liye munasib iqdaam nahi kiye to is qisam ke Hospitals ke khilaaf SDPI awaami ehtijaj karne ka intibah karti hai. Press conference mein reyasti secretary Ashraf Majar, Janoobi Karnataka zilai general secretary Shahool SH, Zilai secretary Ashraf Manchi majood rahe.