Mysore: Mysore mein guzashta 1 mah mein Covid Infection ki wajah se majmoi tor par 70 afraad ki mout hochuki hai aur Infection ki kul tadaad badh kar 1,624 hogayi hai. Is ke muqablay mein, Amwaat ki sharah 4.31 feesad hai, Jo reyasti osat se ziyada hai. 2.23٪ ka izafah huwa. Halaak shudgan ke ahal khanah ne Covid-19 ke ilaaj par narazgi ka izhaar karte hue darj zail ilzamaat ayed kardiye hain.
- Mutasirah afraad jab ilaaj ke liye hospital jatay hain to fori tor par jawab dainay mein takheer se kaam liya jata hai.
- Aisa lagta hai ke munasib ilaaj aur nighdasht mein kotahi barti jarahi hai. ( Family ). Khandani members ko mareez ki haalat ke baaray mein munasib maloomat faraham nahi ki jati hain, Aur ahal khanah ke sath tursh lehjey aur tashweesh ka izhaar kiya jata hai.
- Covid kuch mamlaat mein misbet raha hai jahan mareezoun ki mout hochuki hai wahan ek baradri ki kasrat se amwaat huien, Jis ke nateejay mein is muashray mein iztiraab aur be cheeni peda huvi hai jiski wajah se hamari awam mein bohat se shukook o shubhat peda hue hain. Mutasireen mein se kuch ki halakat tibbi ghaflat ki wajah se huvi hai jis ke sabab faut shudgan ke ghar walay aur dost o ahbaab sangeen ilzamaat aed kar rahay hain, Jis se mazkoorah shukook o shubhat mein izafah huwa hai.
In tamam ilzamaat aur wajohaat ki bana par, Social Democratic Party of India ( SDPI ) nay Press Conference ke zariye mutalba kiya ke wo fori tor par mutalibaat ko poora karen.
SDPI party ke mutalibaat darj zail hain.
1. Mysore mein Covid-19 ki amwaat ke mamlaat par ek Retired judge ki sarbarahi mein medical experts ki committee ke tehat munasib tehqiqaat karwaen .
2. Covid-19 mareezoun ke ilaaj aur dekh bhaal mein ghaflat aur bud unwani ke bohat se ilzamaat, Aur is ke intizam ke liye CCTV ko nasb kiya jaye
Awam se taluqaat rakhnay walay Zee shaoor
numaindoun par mushtamil Covid-19 ki munazzam committee tashkeel di jaye.
3. Niji Hospitals mein Covid treatment ke liye Crores rupay kamaya ja raha hai, Covid ke ilaaj ki qeemat ki chart muratab kere aur usko manzar aam par laya jaye. Agar is se muqarrar kardah raqam se ziyada ho to is terhan ke hospital par qanooni karwai kiya jaye.
4. Mysore mein Covid-19 ke ilaaj ke liye mukhtas niji Hospitals mein dastyab beds ki tadaad ka awaami satah par elaan karen.
Press conference mein shareek Leaders:
• Abdul Al Majeed ( Qaumi General Secretary, SDPI )
• Kumar Swamy ( Riyasat Secretary, SDPI Karnataka )
• Amjad Khan ( State Committee Membar, SDPI Karnataka )
• Tabraiz Seth ( SDPI zila Mysore )