Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadCorporators ki halaf-bardari aur Mayor ke intikhab ke liye tayyariyan mukammal

Corporators ki halaf-bardari aur Mayor ke intikhab ke liye tayyariyan mukammal

Hyderabad: Nou-muntakhib corporators ki halaf bardari ki taqreeb 11 feb ko munaqqid shadni hai aur iske alawa Mayor aur Deputy Mayor ke intikhabaat ke liye bhi badey Intizamaa kiye jarahay hain. Agar mayor sirf ek umeed waar ki tajweez Samnay aati hai to phir koi intikhab nahi hoga aur woh mutafiqa tor par muntakhib honay ka elaan kiya jayega.

Agar do ya do se ziyada umeed waar maidan mein hain to muqaabla karne walay umeedwaron ki fehrist tayyar ki jayegi. Is ke baad har muqaabla karne walay umeed waar ke naamon ko tarteeb se vote dalainge aur arakeen Bashmole sabiq ​​officers ko vote daalnay ke liye apna haath badhana hoga.

Presiding officer har umeed waar ke liye polling shuda votoun ki tadaad record karega agar 2 umeedwaron ke mabain votoun ki masawaat honay ki soorat mein presiding officers memborun ki mojoodgi mein quraa andazi karega aur umeed waar ka naam pehlay aajayega to usay muntakhib kya jayega.

Reyasti Election commissionaire Partha sarthi ne yahan ek ijlaas ke douran un tamam tareeqa car ki wazahat ohdedaron ko kardi hai. khusoosi Ijlaas ke ineqad ke liye zaroori arkaan ki tadaad ka nisf hissa hai ya agar quorum mojood hai lekin abhi koi election nahi hua hai, ijlaas aglay din yani 12 feb tak multawi kiya jayega. Aglay din intikhabaat nah honay ki soorat mein presiding officer is muamlay ko mazeed ehkamaat ke liye reyasti election commission ke paas bhejega.

GHMC intikhabaat 1st decemeber ko hue thay aur nataij guzashta saal 4 decemeber ko elaan kiye gaye thay. Barsiriqtedar telangana rashtra samiti (TRS) party 56 divisions mein faateh hui, jabkay BJP ne 48 division mein kamyabi haasil ki aur 44 division mein AIMIM ne kamyabi haasil ki aur 2 nishiton mein congress ne kamyabi haasil ki. 31 decemeber 2020 ko Lingujiguda ke corporator A. Ramesh goud ki mout ke baad BJP ki tadaad 47 hogayi hai. Corporators ki mout ke paish-e-nazar reyasti election commission 120 din ke andar is division ke liye dobarah intikhabaat ka ineqad karega.