Monday, April 21, 2025
HomeIndiaCorporate tax mein riayat, sanatkaroun ke liye awam se loot

Corporate tax mein riayat, sanatkaroun ke liye awam se loot

New Delhi : Marxist communist party ( CPM ) ne income tax qanoon mein tarmeem ke zareya corporate duniya ko ek laakh 45 hazar crore rupay ki chooth diye jane ki sakht tanqeed ki hai aur kaha hai ke hukoomat maeeshat ko behtar bananay ke naam par sanatkaron ke liye awam ke paise ko loot rahi hai.

CPM ne aaj yahan jari bayan mein kaha ke Modi hukoomat ne corporate duniya par aed honay walay tax aur mehsoolaat ko 39.94 feesad se ghata kar 25.17 feesad kardia hai. is tarhan majmoi tor par das feesad ki chooth di gayi hai jo companies 1st october se nai sarmaya kaari karengi inhen sir charge mila kar 17.01 feesad tax dena hoga. party ne kaha ke hukoomat ko chahiye tha ke iqtisadi sust rawi ko door karne ke liye awam ki quwat khareed mein izafah karti aur is tarhan maang barhti lekin is ne sanat karon ko faida pohanchana shuru kardiya hai.

Budget mein capital gains par ziyada sir charge ka elaan kiya gaya tha jisay hukoomat ne wapas le liya hai aur a seen se ghair mulki portfolio sarmaya karon ko faida hoga. yeh Wazeer-e-Azam Narendra Modi ke America doray se pehlay kiya gaya hai jis ka maqsad sarmaya karon ko apni taraf Raghib karna hai.

Bayan May kaha gaya hai ke mulk mein be-rozgari ki soorat-e-haal roz ba roz bad-tar hoti jarahi hai lekin afraad ki quwat khareed badhaane ke bajaye hukoomat sarmaya kaari par zor day rahi hai. party ne kaha ke hukoomat ne pehlay he 70 hazaar crore rupay real estate aur export sector par kharch kardiye hain. Bureau ne kaha ke corporate aur firqa parast taqaton ne awam ka dokha dard mitanay ke bajaye unki takleef badha di hai. –YTN STAFF