Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadCorporate Hospitals mein mareezoun se zayed raqam wusool kiye jaane par congress...

Corporate Hospitals mein mareezoun se zayed raqam wusool kiye jaane par congress rehnumaoun ka inteba

Hyderabad : Congress party ne mangal ko Corporate Hospitals mein mareezoun aur unke lawahiqeen se zayed billing ke zareya ”munazzam loot maar“ka ilzaam lagaya. Telangana pradesh congress committee ( TPCC) ki aqliyatoun ke mehakma ke chairman Sheikh Abdullah Sohail ki sarbarahi mein, Hyderabad congress aqliati mehakma ke chairman Sameer Wali ullah, ranga reddy zila chairman Mohammad Riaz aur deegar sameit congress rehnumao ki team ne Hospitals mein zayed raqam wusool karne ki shikayat par, mangal ko Banjara hills mein waqay ”Virinchi hospitals “ ka jaiza liya.

Unhon ne hospital ke hukkaam se mulaqaat ki aur un se baqaida khidmaat ke liye zayed raqam wusool karne ke asbaab ki wazahat karne ko kaha. taham hukkaam ne congress ke rehnumao se chaar din ka waqt manga aur yaqeen dilaya ke agar unse ghalatiyan hoyi hain to iski islaah karenge.

Baad azan media numaindon se baat karte hue Abdullah Sohail ne kaha ke Virinchi wahid hospital nahi hai, jis par ilzaam lagaya ja raha hai. balkay ziyada bill wusool karne ki shikayat tamam Corporate aur niji Hospitals ke talluq se aa rahi hai. unhon ne ilzaam lagaya ke Corporate hospital tamam tamam usoolon aur akhlaqiaat ki dhajiyan udatay hue mareezon ko loot rahay hain, aur mareezon aur unke lawahiqeen ke jazbaat se khel rahay hain.

Congress ke rehnuma ne mareezon aur out patients ke liye ek hi dawa ki mukhtalif qeematein rakhnay par Corporate Hospitals ko tanqeed ka nishana banaya. unhon ne kaha ke ”chonke aam log medical bilon ko aasani se samajhney se qassar hain lehaza Corporate hospital unki la-ilmi ka faida utharhe hain.

Abdullah Sohail ne Corporate Hospitals par ilzaam aed kiya ke woh logon ko loot rahay hain. aur ghair insani aur shifakana andaaz mein kaam kar rahay hain. unhon ne kaha ke Corporate Hospitals ke hadd se ziyada bilon ne hazaron khandano ko tabah kar diya hai. jin logon ne apne bachon ki taleem ya apni beti ki shadi ke liye paisay bachaaye they, unhon ne Hospitals ke bilon ki adaigi ke liye kharch kiya.

Congress qaied ne mazeed kah ke ”Telangana hukoomat Corporate aur niji Hospitals ko ba-qaida bananay ke liye koi iqdamaat nahi kar rahi hai. unhon ne kaha ke ”qawaed ke mutabiq tamam Hospitals mein numayan jagah par tarrif card display karne ki zaroorat hai. magar na hi is par hospital amal pera hain, aur nah hi reyasti hukoomat unke khilaaf koyi karwai kar rahi hai. reyasti hukoomat sarkari Hospitals mein sahuliyaat aur halat mein behtari nahi laa rahi hai. jiske nateejay mein, aksar log, khaskar Mutwast tabqay ke log, niji ya Corporate Hospitals mein jaane ke liye majboor hain.

Unhon ne kaha ke Hospitals ki janib se is tarhan ke istehsal ko congress party kabhi bardasht nahi karegi. basorat deegar ”Health care mafia “ ke khilaaf zameeni aur online dono satah par zabardast ehtijaj shuru kiya jaye ga. –YTN STAFF