Monday, September 16, 2024
HomeIndiaCorporate gharanoun ke liye ghareeboun ke masail ko hukoomat nazar andaaz na...

Corporate gharanoun ke liye ghareeboun ke masail ko hukoomat nazar andaaz na kere

New Delhi: Communist Party Of India Marxist ( CPIM ) ne Sanitizers bananay aur Petrol mein Ethanol milawat ke liye chawal ka istemaal kiye jaany se mutaliq markazi hukoomat ke faislay ki shadeed muzammat ki aur kaha ke Corporate ko faida pohanchanay ke maqsad se aam logoun ke zindagi ko nuqsaan nahi ja sakta.

CPIM Politburo ne ek bayan mein kaha ke ye faisla un lakhoun mazdoroun, Deegar ghirmunazam shobay ke mazdoroun aur ghareeboun ke chehray par ek tamancha hai jo Lockdown mein bhook se marnay ke dhanay par hain aur bohat si mushkilaat ka saamna kar rahay hain. Khanay ki kami sameit deegar kayi sakhtiyoun ka saamna kar rahay hain. Ashyae khordani ke zakheeray ke anaaj ko tamam zaroorat mandoun mein muft taqseem karne se mutaliq CPIM ki baar baar ki jaany wali darkhwast ke bawajood markazi hukoomat ne reyasti hukoomatoun ki tavassut se awaami nizam taqseem ke tehat ashyae khordani ke husool iltazam ko badhaya nahi hai.
CPIM ne kaha hai ke anaaj logoun ke liye hona chahiye nah ke eendhan ke liye. Aisay waqt mein jabkay bain ul aqwami satah par tail ki qeematein tareekhi tor par kam hain aur ziyada tar Petrol se chalne wali gadiyaan Lockdown ke sabab sadak se daur hain is ke bawajood Petrol mein Ethanol milawat ke liye chawal ka istemaal karne ka juwaz samajh se baala-tar hai.

CPIM ne kaha lakhoun afraad jo bhook, Makaan ki kami aur deegar masail se pareshan hain, Mehez Corporate ke munafe ke liye, Un ki zindagioun ko nuqsaan nahi pohanchaya ja sakta. Ye mujremana amal hai. Un ki Party is faislay ko wapas lainay ka mutalba karti hai. –YTN STAFF