Berlin: Ek aisay waqt mein jab Coronavirus ki waba phaily huvi hai aur is se mehfooz rehne ke tareeqoun mein sab se ahem samaji faasla aur hathoun ko baar baar saboun aur saaf pani se dhona hai, Duniya bhar mein panah guzinoun ke khaimoun mein un iqdamaat par amal karna namumkin hadd tak mushkil hai. Aqwam mutahidda ka panah guzinoun ka idaara ( UNHCR ) apne tor par un panah guzinoun ko mehfooz rakhnay ke iqdamaat kar raha hai. Idaray ke tarjuman, Babar Balouch ne Media se baat karte huve kaha hai ke abhi tak sirf Germany mein muqeem kuch panah guzen is marz mein mubtala paye gaye. Lekin, UNHCR tamam mulkoun se jahan panah guzin muqeem hain keh raha hai ke wo apne National Action Plan mein un panah guzinoun ko bhi shaamil karen.
Unhoun kaha ke Iran aur uskay padosi mulk ne is silsilay mein misbet jawab diya hai aur baqi mumalik bhi taawun kar rahay hain. Unhoun ne kaha ke UNHCR ne is marhalay par un panah guzinoun ke liye duniya ke mulkoun se 255 Million Dollar ki madad ki Appeal ki hai aur kayi mulkoun ki janib se misbet jawab bhi mil raha hai. –YTN STAFF