Wednesday, May 15, 2024
HomeIndiaCoronavirus se Olympic mutasir honay ka khadsha lekin Hindustani khiladi pur azm

Coronavirus se Olympic mutasir honay ka khadsha lekin Hindustani khiladi pur azm

New Delhi: Mohlik Virus Corona ki wajah se Olympic ki tayyariyan mutasir huvi hain lekin Hindustan ki sare fehrist khiladioun mein shaamil P.V Sindhu aur Bajrang Punia ne kaha hai ke umeed kar saktay hain ke Olympic ke aaghaz tak halaat behtar ho jaien ge aur aalmi satah par Virus ka bohraan khatam hojaye ga. Olympic mein Silver Medal haasil karne wali P.V Sindhu ne kaha hai ke wo samjhti hain ke khiladioun ke liye is waqt sorat e haal ghir yaqini hai kyunkay Coronavirus ki wajah se kayi Events multawi kardiye gaye hain lekin Olympics Games ka aaghaz 24 July ko hoga jis mein hunooz kayi mah ka waqt mojood hai.

Sindhu ne kaha ke mere liye pehlay All England Championship ka ab tak multawi na hona ahmiyat ka haamil hai kyunkay ye chand dinoun mein hi khela jana hai jabkay Olympics mein abhi bohat waqt baqi hai. Unhoun ne mazeed kaha ke Coronavirus aamad ke sath hi bohat ziyada tabahi macha chuka hai lehaza hamein intezaar karna hoga ke Olympic tak halaat kaisay honge. Qaumi Coach Pullela Gopichand ne kaha hai ke Olympic na sirf 4 saal mein ek martaba munaqqid hotay hain balkay baaz auqaat kisi khiladi ki zindagi mein ye mauqa sirf ek martaba aata hai ke wo aalmi satah par apne mulk ki numaindagi kere lekin mojooda halaat mein har khiladi ke liye apni sahet pehli tarjeeh hogi.

Unhoun ne mazeed kaha kay aakhir mein ye dekhna ahem hota hai ke zindagi mein sahet ya Sports kisay tarjeeh di jaye gi lekin halaat is waqt aisay hain ke har khiladi ke liye apni sahet pehli tarjeeh hogi lekin is ke bawajood chunkay Olympics ke aaghaz mein hunooz chand mah baqi hain lehaza koi bhi faisla qabal az waqt hoga. wrestler  Bajrang Punia ne kaha ke is waqt hum mushkil waqt se guzar rahay hain kyunkay jahan kayi mumalik mein mukhtalif cheezoun par pabandi ayed hochuki hai aur Hindustan mein bhi halaat mushkil ho rahay hain. Unhoun ne mazeed kaha ke hum Training ke liye Roos jaane walay they lekin ye ab mansookh hochuka hai. –YTN STAFF