Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsCoronavirus se duniya bhar mein 30 lakh se ziyada afraad mutasir

Coronavirus se duniya bhar mein 30 lakh se ziyada afraad mutasir

New York: Duniya bhar mein Coronavirus se mutasir honay walay afraad ki tadaad 30 lakh se badh gayi hai jabkay halakatain 2 lakh 9 hazaar se zayed ho chuki hain. Khabar rasan idaray ke mutabiq duniya ki mukhtalif hukoomatoun ke jari kardah sarkari adaad-o-shumar ke majmoay ke tehat aalmi waba se ab tak 30 lakh se zayed afraad mutasir ho chuke hain jin mein se 80 feesad ka talluq Europe aur America se hai.

Tafseelaat ke mutabiq Europe mein 13 lakh 93 hazaar se zayeda malumat Report huve jabkay ek lakh 26 hazaar se ziyada amwaat ki Europi mulkoun ki hukoomatoun ne sarkari tor par tasdeeq ki. America mein marnay waloun ki tadaad 55 hazaar se zayed hai jabkay sarkari adaad-o-shumar ke mutabiq 9 lakh 80 hazaar se zayed shehri aalmi waba se mutasir huve.

Aalmi waba se mutasir honay waloun ki tadaad ziyada ho sakti hai kyunkay bohat se mulkoun ke paas Testing Kits ki kami hai aur wo mehdood pemanay par mareezoun ke muanay kar rahay hain. Wazeh rahay ke guzashta baras Decemeber ke wast mein China ke shehar Wuhan se photnay wali aalmi waba ne duniya bhar ko lapait mein liya hai jis ke baais mulkoun ne Lockdown kar ke Virus ke phelao ko roknay ke iqdamaat kiye. –YTN STAFF