Friday, May 3, 2024
HomeSliderCoronavirus se China mein tijarat mutasir, Zaroori ashya ki qeematoun mein izafah

Coronavirus se China mein tijarat mutasir, Zaroori ashya ki qeematoun mein izafah

Beijing: Coronavirus ki wajah se jahan China mein zindagi ko khatrah hai to wahein sahet mand afraad ke liye bhi halaat kuch behtar nahi hain kyunkay Coronavirus ki wajah se China ke kaarobar ko kaafi nuqsaan ho raha hai jis ki wajah se aeshya ki qeematoun mein be tahasha izafah ho raha hai. Coronavirus phelnay ke baad China mein mehengai guzashta 8 baras ki buland tareen satah par poanch gayi hai. Sarkari data ke hawalay se bataya gaya hai ke naye cheeni saal ke aaghaz par ashya ki talabb mein izafay ki wajah se jitni mehengai ka andaza lagaya gaya tha is se kayi guna ziyada hui aur ye pichlle 8 baras se ziyada ke arsay mein buland tareen sharah par hai.

China mein hukoomat Coronavirus phelnay ke baad kaarobar, Safri sahuliyaat aur ashya ki sarbarahi mutasir honay ki wajah se sust rawi ka shikaar honay wali maeeshat ko bahaal rakhnay ke liye tugodo kar rahi hai. Guzashta mah mehengai ki sharah 5.4 feesad par pohanchi jo Decemeber mein 4.5 feesad thi aur sabzioun o gosht ki qeematoun mein izafah dekha gaya hai. Khanay peenay ki ashya ki qeematoun mein 20 feesad izafah dekha gaya hai.

Cheeni hakkaam neh Coronavirus se badhti huvi amwaat ke pesh e nazar itwaar ko karobari hakkaam se kaha tha ke wo apne mulazmeen ki chhatyoun mein 10 din ki towsee kar den. China mein naye qamri saal ki chuttiyan waisay to January ke aakhir mein khatam hojati hain lekin Coronavirus ki wajah se un mein towsee kardi gayi. Doosri janib China mein Coronavirus se marnay waloun ki tadaad mein izafah horaha hai. Peer ko mazeed 93 afraad ki mout ki tasdeeq ki gayi hai is terhan marnay waloun ki tadaad 900 se tajawaz kar gayi hai jabkay mutasireen ki tadaad 40 hazaar se badh gayi hai. –YTN STAFF