Friday, May 3, 2024
HomeSliderCoronavirus se China mein halakatoun ki tadaad 500 tak pahonch gayi

Coronavirus se China mein halakatoun ki tadaad 500 tak pahonch gayi

Beijing: China mein Coronavirus ke nateejay mein halaak honay walay afraad ki tadaad 500 ke qareeb poanch gayi hai jabkay virus ke tasdeeq shuda mamlaat ki tadaad 24 hazaar se tajawaz kar gayi hai. Report ke mutabiq China mazeed 65 halakatoun ki tasdeeq ke baad Coronavirus se halakatoun ki majmoi tadaad 490 tak poanch gayi.

Cheeni hukkaam ki janib se Coronavirus ko roknay ki koshisho ke tehat soobah Hubei ke ateraaf ke shehroun ke sath mazeed shehroun par pabandiyan nafiz karne mein izafah huva hai. Deegar kayi mumalik se coronavirus ke mamlaat samnay aeye hain jo China se nahi they jis ki wajah se aalmi tashweesh mein izafah huva hai jabkay 3711 afraad ko le janay walay behri jahaaz par 10 logoun mein bhi is virus ki tasdeeq hui jis ke baad inhen Japan ke saahil par quarantine mein rakha gaya hai.

Hong Kong mein ek sabiq musafir mein bhi virus ki tasdeeq ke baad Japaani hakkaam ne behri jahaaz mein sawaar tamam afraad ke Test ka aaghaz kardiya tha. Shuba honay mein guzashta haftay se 5 crore 60 lakh afraad ko quarantine mein rakha gaya hai jabkay sobai dar-ul-hukoomat Wuhan sahet ki hungami sorat e haal ka markaz hai. Shanghai ke junoob maghrib se 175 kilo miters ke faaslay par waqay shehar Hangzhou mein China ki sab se badi Online karobari company Alibaba ke qareeb galiyoun ko sabz rang ki baar se band kardiya gaya hai. Duniya ki ahem tareen companiyoun mein se ek Alibaba bazahir band maloom hoti hai jabkay Delivery karne walay afraad samaan pohanchanay ke liye qareebi rehaishi alaqoun mein aa ja rahe hain kayi afraad ko bahar jatay huve bhi dekha gaya tha.

Alibaba un 3 azlaa mein se ek mein waqay hai jahan rawan haftay 30 lakh afraad ko hidayat ki gayi thi ke har ghar mein se sirf 1 shakhs ko har 2 roz baad zaroorat ki ashya kharedne ke liye bahar jaanay ki ijazat hogi. Soobah ZHEJIANG ke 3 shehron Taizhou, Wenzhou ke kuch hissoun mein isi terhan ke iqdamaat kiye gaye hain jis se ek crore 80 lakh afraad mutasir ho rahay hain. China ke shumal mashriqi soobay Heilongjiang aur mashriqi saahil par 2 shehroun mein bhi hukkaam ki janib se aisi Policy nafiz ki gayi hain. Hubei ki sarhad par waqay soobay Yuhang ke shehar ke ek zila ke hawalay se faisla kiya gaya ke har 5 roz baad har ghar se sirf 1 shakhs ko bahar niklny ki ijazat hogi jabkay Hubei se talluq rakhnay walay afraad se mutaliq aagahi faraham karne walay muqami afraad ke liye naqad inaam ka elaan bhi kiya gaya hai. –YTN STAFF