Friday, May 3, 2024
HomeSliderCoronavirus se ab China ki Stock Market bhi mutasir

Coronavirus se ab China ki Stock Market bhi mutasir

Beijing: Coronavirus se mutasirah China mein mulk ki badi Stock Market Shanghai mein mandi ka rujhan dekha ja raha hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq kaarobar shuru honay par China Stock Market do feesad giri jo guzashta roz se musalsal mandi ki taraf ja rahi hai. Shanghai Stock Market mein mangal ko 61 points ki kami dekhi gayi jabkay shanghai composite index 56 points gira. Hong Kong ke Hang Seng Index mein bhi 134 points ki giravat huvi.

Darin asna China ki aala qayadat ne Coronavirus ke khilaaf kiye gaye iqdamaat mein kami aur mushkilaat, Ka aitraaf kiya hai. China ke sarkari TV ne Coronavirus se mutasirah markazi ilaqay mein naye dawakhane ke kaam shuru karne ki khabar di hai taham China ke National Health Commission ne mazeed 64 halakatoun ki tasdeeq bhi ki hai. Ye tamam halakatain virus phoot padney walay soobay hobby mein hui hain.

Media ke bamujab jab se Coronavirus phela hai ye ab tak ek din mein virus se honay wali sab se ziyada halakten hain. China mein ab tak is waba se 425 afraad halaak ho chuke hain jo 2003 mein phelnay wali waba saras se honay wali halakatoun se ziyada hain. Wazeh rahay ke saras nami virus se China mein 349 jabkay duniya mein 800 ke lag bhag afrad halaak hue they. China mein virus se mutasirah mazeed 3253 mareezoun ki tasdeeq hui hai jis se Coronavirus mutasireen ki jumla tadaad 20 hazaar 400 se tajawaz kar gayi hai.

China ki hukoomat ne virus phelnay ke baad America ki janib se rad-e-amal par sakht jawab dete hue usay afratafri phelanay ka zimma daar kaha hai. Wazeh rahay ke America ne Coronavirus ke phelnay par aisay tamam afraad par apne mulk mein dakhlay par pabandi aed ki hai jo haal hi mein China gaye hon. China se ye virus ab tak 20 mulkoun tak phail chuka hai aur kayi mumulik ne China se anay jane walay musafiroun ke liye qawaid sakht kiye hain. China mein phelnay walay virus ko aalmi idaara sahet Global Health Emergency qarar day chuka hai jabkay guzashta roz is waba se China se bahar pehli halakat ki Philippine mein tasdeeq ki gayi thi. –YTN STAFF3