Wednesday, May 1, 2024
HomeIndiaCoronavirus, Parliament Session multawi karne ka mutalba

Coronavirus, Parliament Session multawi karne ka mutalba

New Delhi: Jaan lewa Coronavirus ke phelnay ke sabab Rajya Sabha mein aaj Parliament ko ahteyati iqdamaat ke tehat multawi karne, Tamam Gate par Thermal Screening ki shuruvaat karne aur awam ko Infection se bachao ke liye baday pemanay par bedari muhim chalanay ki maang ki.

AIADMK ke S. R. Balasubramaniam ne waqfa sifar ke tehat ye maamla uthatay huve kaha ke mulk mein Coronavirus ke maamla badh rahay hain aur is se bachao ke liye ye zurori hai ke ek jagah par badi tadaad mein loog jama na hon. Unhoun ne kaha ke Parliament ke dono aiwanoun mein badi tadaad mein rukan aur amlay aarahay hain. Lok Sabha mein osetan 400 arkaan, Rajya Sabha mein 200 aur markazi Hall mein osetan 300 arakeen rehtay hain jis se Infection ke phelnay ka khadsha barqarar rehta hai. Unhoun ne kaha ke zurori qanoon saazi ke kaam kaaj aur Budget se mutaliq khanah poori karne ke baad ahteyati iqdaam ke tehat Parliament ke dono aiwanoun ko multowi kiya jana chahiye. Halaank un ki is maang ki sirf ek do arkaan ne hi himayat ki.

 Chairman Venkaiah Naidu ne kaha ke tamam arkaan aur logoun ko is Virus se bachao ke iqdamaat karne chahiye aur mutaliqa hidayat par amal karna chahiye. Unhoun ne kaha ke hukoomat ko is baare mein phailai jarahi afwahoun ke baare mein wazahat day kar halaat ko wazeh karna chahiye.

Samajwadi Party ke Ramgopal Yadav ne kaha ke mulk bhar se loog Parliament aa rahay hain aur is wajah se Coronavirus se bachao ke liye Parliament ke har darwaze par Thermal Screening ka intizam kiya jana chahiye. Biju Janata Dal ke Sasmit Patra ne Banks ke ATM ko bhi waqtan foqtan saaf kiye janay ka maamla uthaya. Unhoun ne mulk mein Infection ki tashkeez ke liye salahiyat bhedhaye janay ki maang ki.

Trinamool Congress ke Derek O’Brien ne kaha ke Coronavirus ko dekhte huve sab ko siyasat se oopar uth kar taawun karna chahiye. Unhoun ne kaha ke is se bachao ke iqdamaat ko muqami aur ilaqai zabanoun mein logoun tak pohanchaya jana chahiye. BJP ki Vikas Mahatme ne logoun se afwahoun se daur rehne aur mazhabi maqamat mein bheed bhaad se bachney ka mashwara diya. –YTN STAFF