Wednesday, May 1, 2024
HomeTrending NewsCoronavirus par tehqeeq, Saudi Arab ka 500 Million Riyal ka Budget

Coronavirus par tehqeeq, Saudi Arab ka 500 Million Riyal ka Budget

Riyadh: Saudi wazeer sehat Dr Toafeq Al-Rabiya ne kaha hai ke Saudi Arab ne Coronavirus par tehqeeq ke liye 500 Million Riyal ka Budget mukhtas kar diya. Tafseelaat ke mutabiq wazeer sehat ne kaha ke Coronavirus ki tashkes, Ilaaj, Vaccine ki aalmi satah par farahmi ke liye taawun zurori hai. Dr Taofeq Al-Rabiya ke bamujab poori duniya ko Corona ki tashkes, Ilaaj aur Vaccine ke zaraye behtar bananay ki ashad zaroorat hai. Darin asna Saudi Laboratories mein Coronavirus ki mumkina Vaccine par tehqeeq  ka kaam jari hai.

Coronavirus ke ilaaj ki talaash aur iss ki Vaccine tayyar karne par duniya ke mutadid mulkoun mein kaam ho raha hai. Research aur Clinical Trials ke amal mein taizi aagai hai. Al-Sharq Al-Avast ke mutabiq ek Saudi ohdedar ne kaha ke mumlikat mai corona ki Vaccine par 2 Laboratories ahem tehqiqaat  kar rahi hain. Corona se Saudi Arab mein ab tak 28 hazaar se zayeda afrad mutasir ho chukay hain. Un mein Saudi aur ghair mulki dono shaamil hain.

Saudi Arab ke 7 dawakhane Novel Coronavirus ke ilaaj ke liye Anti Viral adwiyah ke tajarbaat bhi kar rahay hain. Mutaddi amraaz ke Consultant aur muawin Secretary sehat baraye wabai amraaz Dr Abdullah Asiri ne kaha hai ke mumlikat mein Clinical Trials ka silsila abhi ibtidayi marahil mein hai. Saudi Arab Coronavirus ke ilaaj aur Vaccine ke liye aalmi idaara sehat se taawun kar raha hai. Aalmi idaara is hawalay se ek bain ul aqwami Group qaim kiye huve hai aur Saudi Arab is mein shaamil hai.
Dr Asiri ne wazeh kiya ke mumlikat ke kayi idaray is Clinical Trial se hatt kar bhi Coronavirus ke ilaaj par tehqeeq kar rahay hain aur un mein numaya naam National Guard ki wizarat ke mahtahat King Abdullah International Research Center ka hai. Isi terhan King AbdalAziz University mein King Fahd Research Center, King Saood University Riyadh ke Matehat Medical City aur King Faisal Specialist Hospital aur Research Center ke naam qabil zikar hain. King Faisal Specialist Hospital wizarat sehat ke qayadat mein mutaddi amraaz ke ilaaj aur wabai amraaz se mutaliq Research Projects ke nataij jari karne wala hai.

Unhoun ne mazeed kaha ke Corona ki mumkina Vaccine par bhi tehqeeq hora hee hai. Saudi Arab mein 2 Laboratories is silsilay mein advance marahil mai daakhil hochuki hain aur tawaqqa hai ke Saudi Laboratories Coronavirus ki mo-asar Vaccine ko behtar bananay ke liye jari aalmi muhim mein ahem hissa daar saabit hongi. –YTN STAFF