Sunday, May 18, 2025
HomeTrending NewsCoronavirus ki wajah se khajoroun ki tijarat buri terhan mutasir

Coronavirus ki wajah se khajoroun ki tijarat buri terhan mutasir

Riyadh: Coronavirus ke bohraan se khajoroun ka kaarobar bhi mutasir honay laga hai. Ramdan shuru hochuka hai lekin abhi tak khajoroun ka kaarobar thanda pada huwa hai. Akaz akhbar ke mutabiq Mecca Mukaramah mein ek sarmayakar naazimal Hamar ne kaha ke is saal khajoroun ka mausam thanda pada huwa hai. Ramdan ki aamad par khajoroun ke baday baday saudey hotay hain.

Guzashta baras ke muqablay mein is saal khajoroun ke saudey 50 feesad kam huve hain jis ki nazeer haliya barsoun mein nahi millti. Thok ke tajir Ramdan se kaafi pehlay hi khajoroun ke baday baday saudey kar lete hain lekin is saal aisa nahi hai.

Ek aur sarmayakar Sultan Al-Harbi ne kaha ke Mecca Mukaramah mein Ramdan ki aamad tak 70 se 80 Million Riyal tak ke khajoroun ke saudey hotay hain, Yahan khajooren farokht karne walay 120 makhsoos marakaz hain jahan baraye naam kaam hai. Corona ki waba ke bawajood khajoroun ke narkhoun par koi bohat ziyada farq nahi pada hai baaz aqsam ki khajoroun ki qeematein 15 feesad tak kam huvi hain. 3 Kelo gram wala ( Ratab ) khajoroun ka Carton 30 Riyal mein farokht horaha hai. Sacrey khajoor ka Carton 40 se 80 Riyal mein dastyab hai jab ke Madina Munawwara ki Ajwa khajoor ek Kelo 40 taa 50 Riyal mein farokht horahee hai.

Khajoroun ke baaz taajiroun ne kaha hai ke is saal khajoroun ki talabb mein 60 feesad tak kami waqay hogayi hai. Mashriqi ilaqa ke ek tajir Zaki Al-Mehdi ne kaha ke Corona bohraan se khajoor ki talabb mein kami huvi hai. Khajoroun ke kaarkhanoun ne khaas pesh kash day kar Market ko mutharrak karne ki koshish ki thi lekin is ka khatir khuwa nateeja bar aamad nahi huwa.

Al-Mehdi ne kaha ke is saal guzashta saal ki nisbat 25 taa 30 feesad Narkh kam huve hain. Baaz khajoroun ka Carton 40 rial mein farokht hota tha ab 30 riyal mein dastyab hai. Ek aur sarmayakar Ali Al-Taredi ne kaha ke Masajid aur Iftar khaimoun mein khajooren badi miqdaar mein khub jati then lekin is saal aisa kuch nahi hoga. Guzashta baras ke muqablay mein khajoroun ki talabb bohat kam hogayi hai. –YTN STAFF