Monday, May 6, 2024
HomeSliderCoronavirus ki New Zealand mein wapsi

Coronavirus ki New Zealand mein wapsi

Auckland: New Zealand mein Coronavirus ke naye mamlaat samnay anay ke baad mulk bhar mein Nursing Homes ko band kar diya gaya hai. Khabar rasan idaray ke mutabiq charshumbe se New Zealand ke tamam Nursing Homes ko band karne ke faislay ka elaan kiya gaya hai aur wazeer-e-azam Jacinda Ardern ne kaha hai ke waba ka phelao un ko aglay mah honay walay aam intikhabaat multawi karne par majaboor kar sakta hai.

Unhoun ne mazeed kaha hai ke hukkaam un shehrion ko talaash kar rahay hain jin se Auckland ke un 4 rahaishion ka kisi bhi terhan rabita raha ho jin ka Corona test misbet aaya hai. Wazeh rahay ke New Zealand mein guzashta 102 dinon ke douran corona ka koi maamla Report nahi huwa tha. New Zealand ke 15 lakh abadi walay sab se baday shehar Auckland mein shehrion ko charshumbe ki dopehar se aindah 3 din ke liye gharon mein rehne ka hukum jari kiya gaya hai.

New Zealand mein shehrion ne Super Markets mein hungami kharidari shuru kar di hai aur corona ke test karanay walay marakaz par bhi hujhoom lag gaya hai. Auckland mein mask pehnay police ohdedaron ne shehar ki badi shahrahon par rakawaten khadi kar di hain taakay naye iqdamaat par amal kiya ja sakay. Wazeer-e-Azam Jacinda Ardern ne kaha ke mehakma sahet ke hukkaam omar raseedah afraad ki dekh bhaal ke liye qaim care Homes ko bhi band kar rahay hain kyunkay un ke zariye bhi virus ke phelao ka khadsha hai. Janti hon ke jin logon ke pyare un care homes mein hain un ke liye ye bohat takleef da hai lekin hum is terhan un ki hifazat aur dekh bhaal behtar tareeqay se kar satke hain.