Friday, May 3, 2024
HomeSliderCoronavirus ki afwaah phelane par Dubai mein sakht tareen saza ka elaan

Coronavirus ki afwaah phelane par Dubai mein sakht tareen saza ka elaan

Dubai: China ke shehar Wuhan mein phailay Coronavirus ne jahan saari duniya ko pareshan kar rakha hai wahein hukkaam ko is wabai marz se apne shehrioun ko mehfooz rakhna aur jo is marz mein mubtala ho chukay hain un ke behtareen ilaaj ke intizamaa karna jahan ek sakht imthehaan hai wahein awam mein paye jaane walay khauf aur afwahoun ki rokk tham bhi Juvve Sher laane se kam nahi kyunkay afwahoun ki wajah se awam mein jahan khauf paaya jata hai wahein hukkaam ke liye masail aur bhi paicheeda ho jatay hain. Is liye hi Dubai mein hukkaam ne afwahen phelane waloun ke khilaaf sakht karwai ka elaan kardiya hai.

Dubai police ke ek ohdedar ne khabardaar kiya hai Coronavirus mein mubtala hone se mutaliq awaami maqamat par kisi bhi terhan ka koi mazaaq ya afwaah phelana aur ghalat it-tila-aat par mushtamil video jari karna jurm hai. Jo shakhs bhi is ka murtakib hoga is ke khilaaf sakht karwai hogi. Emarat Al Youm ke mutabiq Social Media par Coronavirus mein mubtala hone ki afwaah phelana insidaad Information Technology Crimes qanoon ke bamujab jurm hai. Yaad rahe ke kayi mumalik mein mazaaq ke tor par Coronavirus mein mubtala hone ki farzi Videos Viral hain. Jin se awam mein khauf o heraas hai.

Mutahidda Arab Emarat ke qanoon ke mutabiq is ki saza kam az kam 6 mah qaid aur daidh lakh Dirham jurmana hai. Ziyada se ziyada 5 lakh Dirham tak jurmana kiya ja sakta hai. Dono sazaoun mein se kisi ek par bhi iktafa kiya ja sakta hai. Mutahidda Arab Emarat ki police ne muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ko intibah kiya wo Social Media par aisa koi video Clip phelane ki hamaqat nah karen jis mein daawa kiya jaraha ho ke mulk mein Coronavirus phail raha hai.
Awam mein khauf o heraas phelane aur aman o aama ko makdar karne ki ijazat nahi di jaye gi. Coronavirus ke farzi video Clip aur khud sakhta it-tila-aat par qaid aur jurmane ki sazayen di jayen gi. –YTN STAFF