Monday, May 6, 2024
HomeIndiaCoronavirus ke naam par dehshat na phelanay ki appeal

Coronavirus ke naam par dehshat na phelanay ki appeal

New Delhi: Sahet aur khandani behbood ke markazi wazeer Dr. Harsh Vardhan ne Media khasosan Electronic Media se Appeal ki hai ke Coronavirus ke naam par awam mein dehshat nah philayin balkay inhen sahih maloomat faraham kar ke beedar karne ki zaroorat hai. Dr.Harsh Vardhan ne yahan Nirman Bhawan mein mulk mein Coronavirus ki soorat e haal aur markazi hukoomat ki tayario ke baray Media ko bataya ke markazi hukoomat is bemari ke silsilay mein kaafi pehlay se mohtaat hai aur is ne apni taraf se saari tayyariyan kar rakhi hain. Isi ke pesh e nazar aaj dar-ul-hukoomat Delhi ke senior ohdedaroun ke sath mulaqaat ki gayi aur Delhi ke dawakhanoun mai Coronavirus  se nimatnay ki tayario ka jaiza liya gaya taakay kisi bhi hungama soorat e haal mein is se poori terhan nimta jasakay.

Unhoun ne kaha hai ke kal Delhi mein jo mareez Coronavirus mein mubtala paaya gaya, Wo haal hi mein Italy se lota tha aur is ke baad wo Agra gaya jahan is ne apne rishta daaroun ke sath Party ki aur apne ilawa 6 deegar logoun ko mutaser karseya aur aur ye sabhi misbet paye gaye hain. Is terhan ke halaat mein markazi hukoomat ne Cluster Approach  ki hikmat e amli apanee hai aur is ke tehat mareez ke aas paas ke 3 kilometer ke dairay mein har ghar mein logoun se rabita kiya jata hai aur bemari ki alamaat ki shanakht ki jati hai. Is mareez ke muamlay mein is se munsalik 66 logoun ki Screening ki gayi hai.

Wazeer  sahet ne kaha hai ke Iran mai Coronavirus ka khatrah kaafi ziyada hai aur wahan rehne walay Hindustanyoun ke silsilay mein markazi hukoomat kaafi fikar mand hai. Isi ke tehat markazi hukoomat ne wahan ek lib qaim karne ka mansoobah banaya hai aur Iran hukoomat ke taawun se usay pora kar liya jaye ga. Is ka maqsad wahan rehne walay Hindustanyoun ki jaanch karna hai taakay un ki haalat ka sahih andaza karkay foran ilaaj kiya jasakay. Is ke liye ek sainda ko pehlay bheja ja chuka hai aur 3 sainda ja rahay hain aur apne sath alaat bhi le ja rahay hain.

Dr Harsh Vardhan ne kaha ke Italy se 21 Feb ko 24 sayaho ki ek Team Hindustan ghoomnay aayi thi aur is ke ek sayah ko Jaipur mein bukhaar hogaya tha jis ki jaanch ke baad wo Coronavirus ka mareez paaya gaya aur phir jaanch mein pata chala ke is ki biwi bhi is marz se mutasir hai. Baad mein un sabhi ko ITBP ke Delhi mein waqay Camp mein layagya, Jahan is Group ke 14 deegar logoun mein is Infection ki tasdeeq huvi hai aur un ke sath chalne walay Hindustani Driver mai Coronavirus ki tasdeeq hochuki hai. Filhaal un sabhi ko nigrani mein rakha gaya hai. –YTN STAFF