Friday, May 3, 2024
HomeSliderCoronavirus ke khilaaf jung mein Saudi Arab ki China ko madad

Coronavirus ke khilaaf jung mein Saudi Arab ki China ko madad

Riyadh: China mein phoot padney walay mohlik Coronavirus ka jahan WHO  ne aalmi Emergency qaraar diya hai wahein duniya ke ahem mumalik is virus ke khilaaf jung mein China ka sath day rahay jis mein Saudi Arab bhi shaamil hai. Shah Salman markaz baraye insani khidmaat Shahi hidayat par Coronavirus ke insidaad ke liye mask, Virus se bachao ke liye malbosaat, Hifazati chashmay aur deegar zaroriat ki ashya China ko faraham kerega.

Shah Salman markaz baraye insani khidmaat ke sarbarah Dr. Abdullah Al Arabiya ne kaha hai ke imdadi samaan faraham karne ke liye China ke mutaliqa hakkaam ke sath raabtey mein hain. Tafseelaat ke mutabiq Shah Salman ne imdadi samaan China bhejnay ka hukum Saudi Arab aur China ke gehray dostana taluqaat ke tehat diya hai. Doosri janib Riyadh mein tainaat cheeni safeer Chen Weiqing ne kaha hai ke cheeni awam 2008 ke douran Sichuan ke zalzala zadgaan ke liye Saudi Arab ki imdaad ki yaden apne zehnoun mein mehfooz kiye huve hain.

Cheeni safeer ne Twitter par apne bayan mein kaha hai ke Shah Salman Bin Abdulaziz ne cheeni sadar se Telephone par raabtey mein Coronavirus se halaak honay waloun ke aazh se taaziyat ka izhaar kiya, Mutasireen ki fori shifa ki arzoo zahir ki aur Coronavirus se mutasireen ke liye fori imdaad bhejnay ka hukum jari kiya hai. Unhoun ne mazeed kaha ke Shah Salman ka rabita aur imdaad bhejnay ka fori hukum Coronavirus se nimatnay ke silsilay mein hamaray liye taawun ka mazboot pegham hai. Shah Salman, Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman aur Saudi awam ke liye dili shukriya pesh karta hon. Coronavirus ki waba earzi hai. Dosti aur taawun hamesha zindah rahen ge. Saudi Arab mein Twitter sarfeen cheeni zabaan mein trained chala rahay hain jis ka mafhuum hai hum China ke azeem awam ke sath khaday hain.

Yaad rahay ke khadim Harmin Sharifen Shah Salman Bin Abdulaziz ne cheeni sadar Xi Jinping se Telephone par rabita kiya tha. Shah Salman ne kaha hai ke wo aur Saudi awam Coronavirus ki waba se honay wali takleef aur mushkilaat par China aur is ke awam ke sath hain. Shah Salman ne is yaqeen kaa izhar kiya bhi kiya tha ke hukoomat China Coronavirus ke challenge se nimatnay mein kamyaab hojaye gi. Shah Salman ne Shah Salman markaz baraye imdaad o insani khidmaat ko China ke liye imdadi samaan hungami bunyadoun par rawana karne ki hidaayat di thi. –YTN STAFF