Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadCoronavirus ke khilaaf Dr. Mahboob Khan ke khandan ki khidmaat, Saari duniya...

Coronavirus ke khilaaf Dr. Mahboob Khan ke khandan ki khidmaat, Saari duniya sataish karne par majboor, Hindustani Media ke mun par tamancha

Hyderabad: Coronavirus se poora khandan mutasir honay ki khabrain to Media ki zeenat ban chuki hain lekin aisi khabar pehli martaba manzar aam par aayi hai ke Coronavirus se mutasirah afraad ke ilaaj mein poora Dr khandan 24 ghantay apni khidmaat faraham kar raha hai aur is Dr khandan ko Social Media par saari duniya se Salam pesh karne ke alawa un ke liye neek tamannao ka bhi izhaar kiya ja raha hai. Telangana mein ek Dr khandan Coronavirus ke khilaaf jari jung mein 24 ghantay masroof hai aur is khandan ka talluq nawaboun ke shehar se talluq hai. Dr Mehboob Khan ke khandan ki is waqt saari duniya sataish kar rahi hai.

Doctors ka ye khandan Hyderabad se talluq rakhta hai aur Dr Mehboob Khan 1998 se Dr ke muqaddas pesha se wabsta hain aur peshewar tib ka 22 sala Record rakhtay hain. Wo Hyderabad ke Chest Hospital ke Superintendent hain. Doosri janib un ki ahliya Dr Suhaana Khan 15 baras se Dr hain aur wo Dermatology hain. Dr Suhaana Khan Gandhi Hospital mein Dr hain. Un ki beti Rasheka Khan ne haal hi mein MBBS ki takmeel ki hai aur Fever Hospital mein Surgeon ke tour par khidmaat anjaam day rahi hain. Ye tenun riyasat mein Coronavirus ke khilaaf ladai mein Telangana mein kaafi agaye hain. Is khandan ke talluq se Telangana ke wazeer baldi nazam wansaq o shehri taraqqi KTR Rama Rao ko jab ilm huwa to unhoun ne Twit karte huve kaha kay aaj sirf 1 hi nahi balkay 3 shehri Heroes hamaray paas hain jin ka talluq ek hi khandan se hai. Apni salamti ki parwah kiye baghair Dr Mehboob Khan, Un ki ahliya aur un ki beti ne Coronavirus ke khilaaf ladai ladnay ke liye khud ko waqf kardiya hai. Hukoomat ki janib se chalaye jaaney walay un 3 ahem dawakhanoun mein Out Patient Wards band kardiye gaye hain, Un tenuon ne Coronavirus ke khilaaf ladai shuru kardi hai.

Dr Mehboob Khan ne kaha ke un ke khandan ko dar nahi lagta balkay un ke khandan ko fakhr hai, Un ke arkaan khandan is ko apna farz samajte hain. Unhoun ne kaha kay jab tib ke shoba se hum munsalik hotay hain to hum kisi bhi sorat e haal ka saamna karne ke liye zehni tour par tayyar ho jatay hain. Hungami sorat e haal se kuch khatrah bhi hota hai mein maanta hon taham agar Doctors ab kaam nahi karen ge to kon kaam kere ga? Hum bhi ensaan hain hum jab tahaffuz ke alaat pehan letay hain to hum ek sipahi ban jatay hain. Hum ziyada se ziyada mareez ki sahet ke baare mein tavajja markooz karte hain khud ke baare mein nahi. Hum ye nahi sochte ke kisi bhi lamha hamein kiya ho sakta hai. Hum ek azeem Cause se jaday huve hain. Unhoun ne khud ke rozana ki masrofiyat ke baare mein kaha ke un ke khandan ke 3 afraad rozana subah 9 bajey apni khidmaat anjaam dainay ke liye ghar se nikal padte hain. Hafta mein ek martaba un ki dukhtar ki Night Duty hoti hai.

Qaumi Media Nizamuddin mein Tableeghi Markaz ko nishanah banatay huve musalmanoun ko badnaam karne mein apni saari tawa naiya sarf kar raha hai to doosri janib Hyderabad ke is Muslim khandan ne batadiya ke asal hub ul-watni aur apne faraiz ki anjaam dahi ke liye jaan ki parwah nah karna kisi kehte hain. –YTN STAFF