Saturday, May 11, 2024
HomeIndiaCoronavirus ke bawajod Shaheen Bagh ke khawateen ehtijaj jari rakhnay ke liye...

Coronavirus ke bawajod Shaheen Bagh ke khawateen ehtijaj jari rakhnay ke liye pur-azam

New Delhi: Shaheen Bagh mein 3 mah se ziyada waqt se shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf saraapaa ehtijaj bani khawateen muzahireen ne dharna khatam karne se inkaar kar diya hai. Police ohdedaroun ne mangal ke din Shaheen Bagh mein jaye ehtijaj par puhanche aur muzahireen se kaha ke wo Coronavirus ki waba ke pesh e nazar wo apna muzahira filhaal khatam kar den.

Shaheen Bagh mein muzahira kar rahi khawateen se baat cheet karne ke liye puhanche wafad ne khawateen ko dharna o muzahira khatam karne ke liye kaafi samjhaya lekin wahan mojood khawateen ne dharna khatam karne se inkaar kar diya. Khawateen ne kaha Coronavirus ka khatrah la-haq zaroor hai lekin yahan har terhan ke ahteyati qadam uthaye ja rahay hain.

Delhi Police ke sath khawateen muzahireen ke sath baat cheet karne Resident Welfare Association arakeen bhi puhanche they, Unhoun ne bhi khawateen se muzahira khatam karne ki Appeal ki lekin muzahireen ne saaf lafzoun mein un ki guzarish ko mustard kar diya aur kaha ke shehriat se mutaliq siyah qanoon ke khilaaf wo tab tak dharna jari rakhengi jab tak un ke mutalibaat qubool nahi kar liye jatay. Shaheen Bagh mein jaye ehtijaj par mojood kuch khawateen ne kaha ke Coronavirus ka dar Detention Center ( Herasti Camp ) mein rehne ke dar se ziyada nahi hai.

Wazeh rahay ke Coronavirus ki waba bohat taizi se phail rahi hai aur is Virus ke philav ko roknay ke liye awam khud bhi bheed bhaad se bachney ki koshish kar rahay hain aur hukoomat ki janib se bhi ahteyati ehkaam sadir kiye gaye hain ke loog kisi bhi ijtima se parhaiz karen.

Coronavirus ke phelaoun ku roknay ke liye kayi hukoomatoun ne jahan Schools, Colleges aur Malls band kardiye hain wahein mazhabi ibadat gahin bhi band kardi gayi hain. Yahan tak ke Saudi Arab mein Haram Shareef ko Sensitize karne ke liye Tawaf tak ko rokk diya gaya tha aur zairen ke Umrah karne par pabandi ayed kar di gayi.

Shaheen Bagh ka muzahira shehriat tarmeemi qanoon ke nifaz ke khelaaf hai aur ye muzahira sirf khawateen kar rahi hain. Is ko khatam karwane ke liye kuch logoun ne adalat se bhi rujoo kiya hai jo kay zair iltiwa hai. Wazeh rahay Delhi Assembly intikhabaat ke douran bhi Shaheen Bagh markazi intikhabi masla tha. Intikhabaat ke baad 23 Feb ki shaam se Delhi mein un muzahiroun ko le kar firqa waranah fasaad bhi huve jis mein 50 se ziyada logoun ki jaanen chali gayen aur badi tadaad mein maali nuqsaan bhi huva.

Muzahira khatam karne ke liye muzahireen ki raye munqasim hai jis mein jahan Coronavirus ki wajah se kuch loog is ko abhi khatam karne ke haq mein hain, Wahein kuch deegar logoun ka ye kehna hai ke agar ab muzahira khatam hogaya to phir dobarah shuru hona mushkil hai aur hukoomat is maamla par abhi tas se mass nahi huvi hai. –YTN STAFF