Saturday, May 4, 2024
HomeSliderCoronavirus ka teeka 1 saal se pehlay tayyar honay ki umeed nahi

Coronavirus ka teeka 1 saal se pehlay tayyar honay ki umeed nahi

New York: Aalmi idaara sahet ke mutabiq Novel Coronavirus aur is ki wajah se lagnay wali bemari COVID-19 ke khilaaf koi bhi mosser Vaccine ghaliban aglay 1 saal ya is se bhi ziyada arsay tak to dastyab nahi ho sakaygi.
Geneva mein World Health Organization ( WHO )  ki taraf se kaha gaya ke America mein Coronavirus abhi tak taizi se phail raha hai. Is ke ilawa Europe mein is Virus ke phelao ke hawalay se ab ek mili juli tasweer nazar anay lagi hai. WHO ki tarjuman Dr Margaret Harris ne sahafioun ko bataya ke Europe mein is marz se sab se ziyada mutasirah mumalik mein se Italy aur Spain mein is Virus ke naye mamlaat ki rozana sharah mein kami dekhnay mein anay lagi hai. Taham unhoun ne kaha ke Bartania aur Turkey jaisay mumalik mein Novel Coronavirus abhi tak taizi se phail raha hai.

Dr Margaret Harris ne Geneva mein ek News Conference mein kaha ke is waqt tak poori duniya mein Coronavirus ke jitne bhi mamlaat dekhnay mein aeye hain, Un mein se 90 feesad mamlaat Europe aur America mein Record kiye gaye hain. Is liye ye baat yaqeen se kahi ja sakti hai ke aalmi satah par is Virus ke phelao ki mumkina had tak intehai onche satah abhi tak dekhnay mein nahi aayi. China ke barey mein, Jis ke shehar Wuhan se ye Virus shuru ho kar ye waba ab tak duniya ke 200 ke qareeb mumalik aur khittoun tak poanch chuki hai. Dr Harris ne kaha China se mutaliq taaza tareen adaad o shumaar zahir karte hain ke duniya ke sab se ziyada abadi walay is mulk mein ab hukkaam ki nazar mein sab se bada khatrah naye coronavirus ke wo mamlaat hain, Jin ka sabab beroun mulk se watan lotney walay bashinday hain.

Ab tak Novel Coronavirus duniya bhar mein taqreeban 2 Million insanoun ko mutasir kar chuka hai, Jin mein se 1 lakh 20 hazaar se zayed ki mout bhi ho chuki hai. Darin asna kayi mumalik mein Science o tibbi mahireen is mohlik Virus ke khilaaf jald az jald koi nah koi Vaccine tayyar kar lainay ki anthak koshishen bhi jari rakhay huve hain. Taham aalmi idaara sahet ke mutabiq aisi kisi mosser Vaccine ki tayari mein ab bhi 1 saal ya is se bhi ziyada ka arsa lag sakta hai. WHO ki tarjuman ne kaha, Hamein darasal ye tawaqqa karna hi nahi chahiye ke aindah baara mah ya is se bhi taweel arsay ke douran COVID-19 ke khilaaf koi mosser Vaccine tayyar karli jayegi. –YTN STAFF