Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderCoronavirus ka mareez sehat yab hogaya

Coronavirus ka mareez sehat yab hogaya

Karachi: Duniya bhar mein jahan Coronavirus ke phelnay aur amwaat ki wajah se awam mein khauf paya jaraha hai lekin is douran aisi misbet khabrain bhi aa rahi hain jahan is mohlik bemari ke mareez sahet yab hokar dawakhanoun se apne ghar wapas jarahay hain. Pakistan mein samnay anay wala Coronavirus ka pehla mareez sehetyab hogaya hai aur hukkaam ke mutabiq usay Discharge kar diya jaye ga. Ye mareez Karachi ke Agha Khan Hospital mein zair e ilaaj tha.

Wazeer e Aala Syed Murad Ali Shah ne mareez ki sahet yabi ko badi kamyabi qarar dete huve Task Force, Mareez aur is ke ahal khanah ko mubarakbaad di hai. Pakistan mein is virus ke mareezoun ki tadaad 6 tak pahonch gayi thi jo ab 5 reh gayi hai. Wazeer e aala Syed Murad Ali Shah ke muawin Murteza Wahab ne kaha ke 22 sala mareez ka kamyabi se ilaaj kiya gaya jis ke baad un ka Corona ka Test karwaya gaya jo manfi aaya lehaza inhen dawakhana se Discharge kar diya jaye ga. Iran ke safar se wapas aeye is nojawan mein 26 Feb ko coronavirus ki tashkez huvi thi aur ye Pakistan mein Coronavirus ka pehla maamla tha jisay Karachi ke Agha Khan Hospital ke Isolation Ward mein zair-e ilaaj rakha gaya tha.

Coronavirus ki tashkez ke baad mareez ke ehley khanah ke bhi muanay Karachi ke 2 hospital mein karaye gaye they ju manfi aeye they. Kuch din pehlay bhi mehakma sahet Sindh ne bayan jari kiya tha ke Aaha Khan Hospital mein daakhil mareez ki haalat sunbhal chuki hai aur wo taizi se sehetyab horaha hai. Is waqt Karachi mein Coronavirus ke mazeed 2 mareez zair e ilaaj hain jabkay mulk ke deegar hissoun mein is mohlik marz ke 3 mareezoun ka ilaaj kiya ja raha hai.

Wazeer e azam Imran Khan ke muawin khusoosi baraye sahet Dr Zafar Mirza ne apne Twitter Account par virus ke naye muamlay ki tasdeeq karte huve kaha tha ke Corona ka chhata mareez Sindh mein hai aur is ki sahet behtar hai, Mareez ki mukammal dekh bhaal ki ja rahi hai. Qabal azeen Dr Zafar Mirza ne ek Twit mein kaha tha ke Coronavirus ke panchwen muamlay ki tasdeeq hogayi hai aur ye maamla wifaqi dar-ul-haukoomat mein samnay aaya hai.

Wazeh rahay ke Pakistan mein Coronavirus ka pehla maamla 26 Feb ko samnay aaya tha jab Dr Zafar Mirza ne Quetta mein News Conference ke douran kaha tha ke Pakistan mein Coronavirus ka pehla maamla Sindh aur dosra wifaqi dar-ul-hukoomat Islamabad mein samnay aaya. Yaad rahay ke Coronavirus ki wajah se majmoi tor par duniya mein halakatoun ki tadaad 3.5 hazaar se zayed hochuki hai aur is se mutasir honay walay afraad ki tadaad ek lakh se tajawaz kar gayi hai. Virus ki wajah se sab se ziyada amwaat China aur is ke baad Iran mein waqay huvi hain. –YTN STAFF