Saturday, May 4, 2024
HomeTrending NewsCoronavirus ka 99 sala mareez sehat yab

Coronavirus ka 99 sala mareez sehat yab

Algeria: Algeria mein 99 sala Corona ka mareez sahet yab hogaya hai. Quarantine mein zair e ilaaj rehne ke baad un ka Corona Test manfi anay par inhen ghar jaany ki ijazat di gayi. Tafseelaat ke mutabiq Algeria soobay Al- Bouira mein mehakma sahet ke sarbarah Mohammad Al Ayeb ne kaha hai ke maamar mareez ka naam Masood hai, Wo mukammal shfayab hogaye hain.

Unhoun ne kaha hai ke mareez ne Tibbi amlay ko herat zada kar diya, Un ki qowat mudafat intahi mazboot thi jis ne Virus ka datt kar muqaabla kiya hai. Unhoun ne mazeed kaha ke herat ki baat ki ye hai ke mareez ke sath un ka 45 sala beta bhi Corona ka shikaar tha lekin wo Virus ka muqaabla karne mein nakaam ho kar halaak ho gaya hai.

Mehakma sahet ke sarbarah ke bakol adaad o shumaar ke mutabiq mazkoorah mareez Bouira ka sab se maamar mareez tha jin ke ilaaj mein tibbi Team ne khusoosi dilchaspi dikhayi thi. Wazeh rahay ke Algiers mein itwaar tak Corona ke baais 425 afraad halaak huve hain jabkay mareezoun ki tadaad 3385 se tajawaz kar gayi hai. –YTN STAFF