Tuesday, May 14, 2024
HomeSliderCoronavirus, IPL waqt par shuru hoga: Ganguly

Coronavirus, IPL waqt par shuru hoga: Ganguly

Kolkata: BCCI ke sadar Sourav Ganguly ne kaha hai ke Indian Premier League ( IPL ) taqreeban Schedule ke mutabiq munaqqid karne ki tayyariyan mukammal hochuki hain halaank Hindustan mein Coronavirus ke mareezoun ki tasdeeq bhi hogayi hai aur is mohlik virus ne aalmi satah par na sirf aam zindagi balkay muashi aur sports ki masrofiyat ko bhi buri terhan mutasir kardiya hai. Hindustan mein khailay jaany walay IPL ka rawan baras 29 March ko aaghaz hoga jis mein Hindustan ke alawa bain ul aqwami khiladi bhi shirkat karen ge.

Hindustan mein is waqt Coronavirus ke 31 mareezoun ki shanakht hochuki hai jis mein 16 atalwi sayah hain jabkay duniya bhar mein ek lakh se zayed afraad is virus se mutasir hain jabkay 85 mumalik mein ta haal 3300 afraad halaak ho chukay hain. Un tamam halaat ke bawajood BCCI ke sadar Ganguly ne kaha hai ke IPL taqreeban apne schedule ke mutabiq hi munaqqid honay ki tayyariyan mukammal kar chuka hai jabkay England bhi Sri Lanka ke dora ka aaghaz kar chuki hai jabkay janoobi Africa team bhi yahin hai lehaza IPL ke liye kisi qisam ki tashweesh-naak baat nahi.

Ganguly ne mazeed kaha ke Teams duniya bhar ka safar kar rahi hain jis mein khaas kar Abu Dhabi, Mutahidda Arab Emirats ke deegar maqamat mein muqabloun mein shirkat hora hee hai lehaza koi bada masla darpaish nahi. Ganguly se jab ahteyati iqdamaat ke zimn mein istafsaar kiya gaya to unhoun ne kaha ke hukkaam tamam tarz ke iqdamaat kar rahay hain taham hum ye nahi jantay ke ahteyati tadabeer mein mazeed ziyada kin iqdamaat ki zaroorat hogi lekin Medical Teams pehlay hi dawakhoun aur Doctors se rabita mein hai taakay khiladioun, Ohdedaroun aur Cricket shaiqeen ke sahet ke mutaliq kisi qisam ka koi jokham na uthaya jaye. –YTN STAFF