Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaCoronavirus: Hindustan ke liye aindah chand din ahem

Coronavirus: Hindustan ke liye aindah chand din ahem

New Delhi: Shehar Hyderabad ke ilawa Hindustan bhar mein guzashta 2 haftoun ke douran corona ke mareezoun ki jo taaza tareen tadaad samnay aa rahi hai is ne awam mein ek tashweesh ki lehar peda kar di hai aur awam is khauf mein mubtala hain ke kahin Hindustan ke halaat bhi deegar un mumulk ki terhan to nahi hojaien ge jahan corona ki soorat e haal tashweesh naak hai.

Is zimn mein Dr Girdhar Gyani ka ek interview kaafi ahmiyat ka haamil hai jis mein unhoun ne Hindustan mein corona ki mojooda soorat e haal aur riyasati aur hukoomatoun ki janib se ki jaany walay iqdamaat ke ilawa awam ko ahteyati iqdamaat ikhtiyar karne ka mashwara diya hai. Dr Gyani ne kaha hai ke Hindustan ki mojooda soorat e haal ko corona ka teesra marhala kahin ge. Ji haan, Hum usay stage 3 kehte hain. Bazabta tour par hum usay teesra marhala nahi keh satke hain lekin haqeeqat mein ye marhala 3 ka aaghaz hai.

Corona dawakhanoun mein ek task force ke convener, Dr Gyani ne ek Interview mein kaha. Dr Gyani jo Association of health care providers ke baani hain, 24 March ko Wazeer e Azam Narendra Modi ke sath sahet ki dekh bhaal ke pesha war afraad ki video conference ke rukan they. Covid-19 Hospitals par mushtamil ye task force un 2 task forces mein shaamil hai Jyunti Ayog ke zair qayadat mulk mein coronavirus phelnay se nimatnay ke iqdaam ke zimn mein tashkeel di gayi hai.

Dr Gyani ek Engineer hain jo quality managment mein PhD hain. Un ki NGO Association of health care Providers hukoomat ko sahet ki dekh bhaal ke aas paas policy saazi ke sath sargarmi se mashwara deti hai. Marhala 3 se morad coronavirus ki masharti muntakili hai. Wabaa ke douran ye intahi naazuk marhala samjha jata hai. Stage 3 mein ek waba taizi se phelti hai, Kyunkay is marhalay mein muntakili ke asal zareya ka suraagh lagana mushkil hojata hai.

Unhoun ne kaha ke aglay 5 se 10 din tak is waba ko qaboo karne ke liye bohat ahem hoga kyun ke jo loog Asymptomatic hotay hain wo alamaat zahir karna shuru kardete hain. Unhoun ne nishandahi ki ke hukoomat abhi bhi un tenu alamaat ke sath hi khansi, Saans lainay mein dushwari, Bukhaar ki jaanch kar rahi hai. Agar mareez mein alamaat mein se sirf ek hi alamat hai to phir un ki jaanch nahi ki jaye gi. Is palsi ko tabdeel karne ki zaroorat hai.

25 March tak hukoomat ne mulk mein 118 testing Labs qayem kiye hain. Dr Gyani ne kaha ke un ke sath mil kar rozana 15 hazaar test karwane ki gunjaish hai. Is ke ilawa 16 khangi Labs ko bhi ijazat di gayi hai.

Wazeer e Azam Modi ki zair-e-sadarat ijlaas mein khangi dawakhanoun Covid Hospitals mein tabdeel karne ka faisla kiya gaya jo badlay mein tibbi samaan aur tarbiyat yafta doctors aur tibbi mahireen ki farahmi kar saken ge. Dr Gyani ne kaha hai ke mere zehan mein challenge ye hai ke pehlay hamein Covid-19 dawakhanoun ki nishandahi karni hogi aur phir Nurses, Doctors aur saathi kargunoun ku tarbiyat dena hai.