Friday, March 29, 2024
HomeOthersHealthCoronavirus hawa mein phailta hai, Science danoun ka naya inkishaaf

Coronavirus hawa mein phailta hai, Science danoun ka naya inkishaaf

Washington: Coronavirus se jahan saari duniya pareshan hai aur is ke teeka ka be sabri se intezaar kar rahi hai lekin aaye din is mohlik bemari ke mutaliq naye naye inkishafaat samnay aarahay jisakeh ab mahireen ne daawa kiya hai ke coronavirus hawa mein phialta hai.

Ab tak coronavirus ke baray mein kaha jata tha ke khansnay ya chenkne ya zor se bolnay se mareez ke mun ya naak se kharij honay walay zarraat se ye virus dosray shakhs ko shikaar karta hai lekin ab 12 mulkoun ke 250 ke qareeb science daano ne kaha hai ke ye virus hawa ke zariye Infection phelata hai aur band jagah

Akhbar New York times ke mutabiq 12 mulkoun ke 239 science daano ne aalmi idaara sahet ke naam ek khulay khat mein kaha hai ke wo coronavirus se bachney ke liye apni hidayat par nazarِ sani kere. Is haftay ke ek science risalay mein is khat ke mandarjat shaya kiye jayen ge. Un science daano ne kaha hai ke coronavirus hawa se phialta hai, Yani virus ke zarraat band jaghoun mein gardish karte hain aur saans letay huve ye zarraat insani jism ke andar ja satke hain.

Aalmi idaara sahet ney kaha hai virus saans ke zariye nanhay nanhay qatroun ki shakal mein baher nikaltay hain aur dosray shakhs ko shikaar karte hain. Yani mutasirah shakhs ke khansnay aur chenkne se ye qatray baher atay hain. Ye intahi chhootay aur bareek hotay hain, Is liye jald hawa mein mil jatay hain.

Akhbar New York Times ne kaha hai ke agar ye virus hawa se phialta hai to phir is ko phelnay se roknay ki tadbeer badal jaye gi aur Mask ko gharoun ke andar bhi lagana hoga. Ab tak gharoun ke andar Mask istemaal nahi kiya jata hai. Yahan tak ke 6 feet se doori par bhi is ki zaroorat nahi padtee hai. Isi terhan ventilators nizaam mein bhi tabdeeli lana hogi aur hawa ki gardish ko kam se kam karna hoga. Haal hi mein corona mamlaat ki tadaad mein jo izafah hawa hai, Is ki wajah aam tor se ye batai gayi ke kaarobar aur dukanen khulnay is waba ke phelao mein izafah hawa. Agar is mafroozay ko samnay rakha jaye to un science daano ki baat musadeqa lagti hai ke ye virus hawa mein mojood rehta hai aur band kamroun mein bhi infection ke imkaan ko radd nahi kiya ja sakta hai.