Saturday, April 27, 2024
HomeSliderCoronavirus China ke ilawa 17 deegar mumulk mein phail chukka

Coronavirus China ke ilawa 17 deegar mumulk mein phail chukka

Hyderabad: China ke shehar Wuhan mein phoot padney wala Coronavirus ab duniya ke kayi mulkioun tak pahonch gaya hai. Khabar rasan idaray AFP ke mutabiq China ke ilawa 17 mumulk ke shehri is virus se mutasir ho chuke hain aur mutaliqa hakoomaten is ke phelao ko roknay ke liye khatir khuwa iqdamaat kar rahi hain. China ke alawa Coronavirus jin mumulk mein phail chuka hai un mein mutahidda Arab Emarat, France, Germany, Japan, Australia, America, Canada, Malaysia, Nepal, Singapore, Janoobi Korea , Taiwan, Thailand, Srilanka aur Vietnam shaamil hain.

Coronavirus se China mein 5947 afraad mutasir ho chuke hain jabkay ta haal 170 halakatain hui hain. 1,700 naye mamlaat samnay aeye hain, Mutasireen ki tadaad mein izafay ka khadsha hai. Charshumbe ko mutahidda Arab Emarat ki wizarat sahet ne mulk mein Coronavirus se mutasir ek maamla ki tasdeeq ki hai aur ye mashriq wasti mein bhi Coronavirus ka pehla maamla hai. Wizarat sahet ke mutabiq Wuhan se ye Cheeni khandan aaya hai. Un mareezoun mein virus ki tasdeeq hui taham un ki sahet mustahkam hai aur un ko nigrani mein rakha ja raha hai.

France mein Coronavirus se mutasir 4 mamlaat samnay aeye hain. France Europe ka pehla mulk hai jo is virus se mutasir huva. 1 shakhs border ilaqay mein jabkay dosra Paris mein virus se mutasir paaya gaya. Hakkaam ke mutabiq mulk mein samnay anay wala teesra mareez un 2 afraad mein se ek ka rishta daar hai. Ye tenun afraad China gaye thay jin ko ab allag rakha gaya hai.

Taiwan, Janoobi Korea aur Singapore mein bhi 4 afraad is virus se mutasir hue hain. Japan ki wizarat sahet ne mulk mein Coronavirus ke chouthay muamlay ki tasdeeq ki hai. Wizarat sahet ke mutabiq ke 40 baras ka ye shakhs Wuhan gaya tha aur is ko ab dawakhana mein zair nigrani rakha gaya hai. Un 4 mutasireen mein ek khatoon bhi shaamil hain

Bartania akhbar gardin ke mutabiq Australia ne kaha hai ke 6 afraad mein Coronavirus ki tasdeeq hui hai. Australia ne faisla kiya hai ke China se lotney walay shehrioun ko kuch arsay ke liye allag jazeeray par rakha jaye ga. 600 Australia shehri China ke virus zada ilaaqoun mein phansay hue hain. Australia wazeer e azam ke mutabiq China se wapas lotney waloun ko 14 din ke liye Christmas nami jazeeray par rakha jaye ga. Australia mein panah lainay walay ghair mulkioun ko umooman Christmas jazeeray par rakha jata hai jo samandar ke rastay Australia mein daakhil honay ki koshish karte hain.

Duniya ke super power America mein Coronavirus se mutasir 5 afraad ku dawakhane mein daakhil kiya gaya hai. Americi mehakma e kharja ke mutabiq 240 Americion ko khusoosi tayyaray ke zariye China se wapas laya gaya. America ne tasdeeq ki hai China se wapas lotney walay shehrioun mein virus ke jaraseem nahi miley. Washinton Post ke mutabiq Americi mehakma sahet ke ek aala ohdedar ne kaha hai ke unhoun ne mahireen ki ek Team China bhejnay ki peshkash ki hai. Canada mein bhi ek 50 sala mareez ki tasdeeq hui hai jis ko allag rakha gaya hai.

Malaysia mein Coronavirus se mutasirah afraad ki tadaad saat ho gayi hai. Malaysia ke hakkaam ke mutabiq ke Coronavirus se mutaliq hifazati iqdamaat liye gaye hain. Is virus se Nepal ka ek 32 sala shakhs mutasir huva hai jin ki sahet ab behtar hai. Thailand mein 16 jabkay Vietnam mein 2 afraad is virus se mutasir hue hain. Vietnam mein ek mutasirah baap se betay ko virus muntakil huva hai. Coronavirus se mutasir honay waloun ki tadaad saras virus ke mutasireen se bhi tajawaz kar gayi hai jo China mein 2002 mein phela tha. Coronavirus se 5,327 afraad mutasir hue they, Jabkay duniya bhar mein 770 halaktin hui then.

China ka Pakistan se qareebi aur kaafi gehra tijarti talluq hai aur Pakistan mein senkdoun ki tadaad mein cheeni mulazmeen mojood hain lehaza Pakistan ke bhi Coronavirus se mutasir honay ke khadshaat hain. Pakistan mein ab tak sirf 4 afraad par Coronavirus se mutasir honay ka shuba huva hai. Wazeer e azam ke muawun khusoosi baraye sahet Dr Zafar Mirza ne Press conference ke douran bataya ke un afraad ke khoon ke namoonay Laboratory ko bhaij diye gaye hain aur un ko nigrani mein rakha gaya hai. Unhoun ne kaha ke un 4 afraad ki sahet dekh kar yaqeen se keh satke hain ke unhein Coronavirus nahi hai. Chunkay China mein ye bemari teezi se phail rahi hai is liye Pakistan mein bhi High Alert hai aur dawakhanou mein intizamaa kiye ja rahay hain. –YTN STAFF