Sunday, May 11, 2025
HomeHyderabadCoronavirus aur Ramadan ki Iftaari, kya khayen aur kya nahi

Coronavirus aur Ramadan ki Iftaari, kya khayen aur kya nahi

Hyderabad: Wabai marz se ab saari duniya pareshan hai aur un ki pareshani is liye bhi kaafi sangeen hai kyunkay Virus ka koi ilaaj nahi sirf qowat mudafat ko filhaal is ke khilaaf asal hathyaar tasawwur kiya ja raha hai aur Ramadan mein Roza daaroun ke liye qowat mudafat ka khayaal rakhna intahi zurori hai.

Coronavirus se ladnay ke liye qowat mudafat ka mazboot hona bohat zurori hai. Mahireen ke mutabiq Ramadan ke mahinay mein logoun ko apni ghiza par khaas tavajja dainay ki zaroorat hai.

Ramadan mein aur khaas tor par qowat mudafat ko behtar karne ke liye kon si ghiza ka istemaal kiya jaye. Is ke mutaliq har mulk mein Doctors apne mahol ke mutabiq awam ko mashwara day rahay hain jabkay Hyderabad jo ke maheman nawazi aur aalmi shohrat Yafta khaano ke liye apni infiradi shanakht rakhta hai jabkay Hydrabadi awam iftaar mein tali huvi ashya aur Haleem ke dildada hotay hain lekin Lockdown ki wajah se Haleem to band hai lekin tali huvi cheeze ab dastarkhawan ki zeenat bani huvi hain lekin ye tali huvi cheeze qowat mudafat ki dushman aur Coronavirus ke liye aap ke jism ko tayyar rakhnay mein muawin saabit hoti hain.
Doctors ne mashwara diya hai ke is waqt logoun ko chahiye ke wo ziyada se ziyada mutawazan ghiza ka istemaal karen, Phal aur sabzian ziyada khayen. Vitamin si qowat mudafat ko mazboot karne ke liye bohat ahem hai. Aisay phal sabzioun ka istemaal kiya jaye jin mein vitamin si waafar miqdaar mein mojood ho.

Ramadan ka maheena ho aur iftaari ke dastarkhawan par Pakodey aur Samose nah hon to lagta hai jaisay Iftaari adhuri hai magar hamari sahet ke liye ye tali huvi cheeze kitni nuqsaan da hain is baaray mein Doctors mashwara diya hai ke poora din bhooka rehne ke baad tali huvi cheezoun par toot padna sahet ke liye intahi muzir hai is ke bar aks khajoor aur phal se roza Iftaar karna chahiye, Phir kuch der baad khana kha lena chahiye.

Doctors ne werzish ki ahmiyat par zor dete huve kaha ke un dinoun mein ziyada tar afraad ghar par hain to inhen chahiye ke roza ke baad werzish karen taakay jism harkat mein rahay aur khana hazam ho. Garam pani peenay ki hidaayat karte huve kaha ke ye qowat mudafat ko behtar bananay mein intahi muawin hai.

Coronavirus ki waba se bachao ki ahteyati tadabeer ke hawalay se Drs ne kaha ke loog dastanoun aur Mask ko le kar be ahteyati bart rahay hain. ek baar Mask ko istemaal kar ke dobarah istemaal karna khatarnaak ho sakta hai. Social Media par kaha ja raha hai ke Mask aur dastanoun ko istemaal karne ke baad Dettol se dhoya jaye to jaraseem aur Corona mar jayega lekin aisa kuch nahi hai. –YTN STAFF