Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderCoronavirus America ke liye 9/11 se ziyada nuqsaan da

Coronavirus America ke liye 9/11 se ziyada nuqsaan da

New York: Duniya mein Coronavirus se sab se ziyada mutasir honay walay mulk America ki riyasat New York mein halakatoun ki tadaad 9/11 ke hamloun mein honay wali amwaat se dugna se ziyada hochuki hai. Wazeh rahay ke 9/11 ke hamloun mein New York mein 2700 se zayed afraad halaak huve they aur Coronavirus se New York mein halakatoun ki tadaad 6200 se bhi ziyada hai.

New York ke Governor ne Andrew Cuomo kaha hai ke New York ke shehri shadeed ranj o gham mein hain aur halaak honay waloun ke sog mein parcham surangoun rahay ga. Francesi khabar rasan idaray ke mutabiq America mein jumla halakatoun ki tadaad 14695 hogayi hai jo Spain se bhi badh gayi jo 14 hazaar 555 hai. Jabkay America mein mutasireen ki tadaad saadhay 4 lakh tak pahonch chuki hai.

Americi University John Hopkins ke adaad o shumaar ke mutabiq jumaraat ko duniya bhar mein mutasireen ki tadaad 15 lakh 13 hazaar se zayed hai aur 88 hazaar se ziyada loog halaak ho chukay hain. Coronavirus se sab se ziyada halakten Italy mein Record ki gayen jahan amwaat ki jumla tadaad 17669 hai, Jabkay ek lakh 39 hazaar mareez hain.
Spain Virus se honay wali halakatoun ke aitbaar se dosray Number par hai jahan is waba ne 14 hazaar 555 afraad ki jaan li. France mein is waba se ab tak 10869 afraad halaak huve hain jabkay mutasirah afraad ki tadaday 1 lakh 13 hazaar se zayed hai.
Bartania mein halaktin 7 hazaar se badh chuki hain aur 61 hazaar 474 mareez hain. Bartanwi hukkaam ne kaha hai ke London mein Wazeer e Azam Boris Johnson ki haalat khatray se baher horahee hai aur wo dawakhana mein Oxygen haasil kar rahay hain aur Ventilator par nahi hain.
Doosri janib Coronavirus ki waba jahan se shuru huvi thi wo China ka shehar Wuhan hai jahan ab 76 roz baad Lockdown khatam kardiya gaya hai. Americi sadar ne kaha hai ke wo WHO ko di jaany wali imdaad khatam karne par ghhor karen ge jabkay aalmi idaara sahet ke sarbarah Dr Tedros Adhanom ne Americi sadar ke bayan par rad-e-amal dete huve kaha hai ke hum har qoum se qareeb hain. –YTN STAFF