Wednesday, May 1, 2024
HomeIndiaCorona Vaccine sirf Bihar mein muft kyun? Kejriwal ka BJP se sawal

Corona Vaccine sirf Bihar mein muft kyun? Kejriwal ka BJP se sawal

New Delhi: BJP ke Bihar Assembly intikhabaat ke liye manshoor mein riyasat ke awam ke liye corona vaccine muft muhayya karwanay ke waday par Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal ne BJP par shadeed tanqeed ki aur kaha ke is par sabhi ka haq hai aur yeh pooray mulk mein muft milni chahiye. Shumal mashriqi Delhi ke Shastri Park ke nazdeek Seelampur Flayover ku awam mukhtas karne aaye Kejriwal ne kaha BJP corona vaccine Bihar mein hi kyun, Pooray mulk ko muft mein muhayya honi chahiye.

Kejriwal ne Bhartia Janata Party ( BJP ) ke is waday par sawal kiya aur kaha ke ghair BJP hukoomat wali reyaston ka kiya hoga? Jinhon ne BJP ko vote nahi diya inhen yeh teeka muft mein nahi diya jaye ga? Unhoun ne kaha ke is Flayover ki andazan laagat 303 crore rupay thi jabkay yeh 250 crore rupay mein ban kar tayyar huwa hai. Delhi ki imandaar hukoomat ne dar-ul-hukoomat ke awam ke 53 crore rupay bachaaye. Wazeer khazana Nirmala Sitharaman ne Bihar Assembly intikhabaat ke liye BJP party ka intikhabi manshoor jari kiya tha jis mein yeh wada kiya gaya hai ke hukoomat ban’nay par riyasat mein corona vaccine sabhi ko muft muhayya ki jaye gi sirf Bihar ku hi nahi.

Bihar Assembly ka intikhabaat BJP qaumi jamhooria ittehaad ( NDA ) ke ittihadi ke tour par Bihar Chief Minister Nitish kumar ki qayadat mein ladh rahi hai. Is se pehlay BJP ke corona vaccine ke waday par congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne bhi Tweet kiya aur tanqeed karte hue kaha tha. Hindustani hukoomat ne Covid taqseem ka elaan kardiya hai. Yeh jan-nay ke liye vaccine aur jhutay waday aap ko kab milein ge, Meharbani karkay apni riyasat ke intikhabaat ki tareekh dekhen.