Wednesday, May 1, 2024
HomeTrending NewsCorona Vaccine saal ke aakhir tak tayyar hojayegi: Donald Trump

Corona Vaccine saal ke aakhir tak tayyar hojayegi: Donald Trump

New York: America ke sadar Trump ne kaha hai ke Coronavirus se 1 lakh Americi halaak ho satke hain. Taham unhoun ne Vaccine ke hawalay se yaqeen dehani karwai ke Americi Science daan rawan saal ke aakhir tak Corona ki Vaccine tayyar karne mein kamyaab hojayenge. Khabar rasan idaray ke mutabiq sadar Trump ne kaha ke inhen yaqeen hai ke America saal ke aakhir tak Vaccine tayyar kar lega. Dr inhen aisi kisi pesh qiyaasi se mana karen ge lekin wo wahi kahinge jo wo durust samajte hain. Trump ne Lincoln Memorial mein munaqqid honay wali Virtual Town Hall Meeting ke douran Corona par sawalat ke jawab dete huve kaha ke inhen khushy hogi agar koi aur mulk Americi mohqiqeen ko shikast dete huve Vaccine tayyar karne mein kamyaab hojaye.

Town Hall Meeting, Jisay Fox News ne barah e raast nashar kiya is mein sadar Trump ne apni intikhabi muhim ka aaghaz kiya. Unhoun ne kaha ke inhen is baat kar parwah nahi ke konsa mulk pehlay Vaccine tayyar karne mein kamyaab hota hai, Wo sirf Vaccine chahtay hain jo waba se nimatnay mein muasar ho. Trump se jab Vaccine tayyar karne ke marahil ke douran insanoun par kiye jaane walay tajarbaat ke hawalay se sawal kiya gaya, To unhoun ne kaha ke jin par Vaccine ka tajurbah kiya jata hai wo khud ko raza karana tor par pesh karte hain aur wo khatraat se bhi bakhabar hotay hain.

Trump ne Lockdown ke hawalay se kaha ke wo September mein School aur Universities kholnay par zor denge. John Hopkins Corona Research Center ke adaad o shumaar ke mutabiq guzashta 24 ghantoun mein America mein halakatoun ki tadaad 1450 hogayi hai, Jis ke baad America mein ab tak 67 hazaar 682 afraad Corona se halaak ho chuke hain. Deegar mumalik ke muqablay mein America mein Corona se honay wali halakatoun ki tadaad sab se ziyada hai. America mein 1 lakh 80 hazaar afraad Corona se sahet yab bhi huve hain.

Doosri janib Europi mumalik ke sarbarahan Vaccine ki tayari ke liye Europi Union ki janib se 7.5 billion Ruro akatha karne ki muhim ki himayat kar rahay hain. Italy, France aur Germany ke sarbarahan ne is fund ki himayat ka elaan kiya hai. Europi Union ke mutabiq is fund ke zariye Science danoun, San-atoun, Hukoomatoun, Bain-ul-aqwami idaroun aur mahireen sahet ke darmain be misaal taawun ke sath Vaccine ki tayari ka aaghaz kiya jayega.

Europi Union ne khabardaar kiya hai ke duniya bhar mein Vaccine ki farahmi ko yakeeni bananay ke liye is se ziyada raqam darkaar hogi.

Europi mumalik ke sarbarahan ne kaha hai ke agar tamam mumalik ke taawun ke sath duniya bhar ke liye Vaccine tayyar karne mein kamyaab hogaye to ye tamam insanoun ki bhalai ke liye kiya jaane wala ikeeswen sadi ka anokha mansoobah hoga. –YTN STAFF