Friday, March 29, 2024
HomeOthersHealthCorona vaccine ke insani tajarbay ko manzoori mil gayi

Corona vaccine ke insani tajarbay ko manzoori mil gayi

New Delhi: Pharmaceutical company zydus cadila ko controller general of indian medicine ( DSGI ) ne corona vaccine ke teesray marhalay ke insani tajurbah ke liye manzoori daydi hai. Company ne kaha ke iski Corona vaccine ke liye insani aazmayshon ka teesra marhala rawan mah mein shuru hoga. yeh muaina poooray mulk ke 20 se 25 marakaz par kiya jayega. Yeh test 250 raza karon par hoga.

Zydus cadila ne mazeed kaha ke insani test ke dosray marhalay ke nataij ke mutabiq is ki corona vaccine mo-asar hai. is vaccine ki sirf ek khoraak di jayegi.

Cadila health care ltd ke MD dr sharvel patel ne kaha ke hum apne corona vaccine ke dosray marhalay ke insani test ke nataij se khush hain. test ke douran yeh pata chala ke agar yeh vaccine infection ke ibtidayi waqt mein mareez ko di jaye to phir insaan mein virus ki tadaad kam hona shuru hojati hai.

Hamara maqsad ek aisa ilaaj talaash karna hai jo mehfooz ho, istemaal aasaan ho aur is se mutasirah afraad ki tadaad mein bhi kami laaye.

Zydus cadila ki corona vaccine ka dosra marhala 40 afraad par tajurbah kiya gaya. Yeh tamam razakaar infection se mutasir thay lekin woh shadeed bemaar nahi thay. un sab ko vaccine ki ek hi khoraak di gayi thi aur jab unhon ne vaccination ke 14 win roz RT-PCR test karwaya to pata chala ke 95 feesad mareez infection se sehtyab ho chukay hain.

Dosray marhalay ke test ke douran vaccine dainay ke satwen din 16 raza karon ka RT-PCR test ke nataij manfi thay. company ne kaha ke fil haal mexico mein woh is vaccine ke dosray marhalay ka insani tajurbah kar rahi hai.