New Delhi: Corona se sehtyab honay walay mareezon aur deegar bimarion se mutasirah afraad mein ab ek naya marz black fungus dekhnay mein aa raha hai aur yeh jism ke kisi bhi hissay ko mutasir karsakta hai. Is tarhan ke fungus ke mareez Gujarat, Maharashtra aur Delhi mein manzar aam par aarhay hain. East dehli medical center ke Dr paras gangwal ne is maslay ke mutaliq izhaar khayaal karte hue kaha ke is bemari ko meoko microsis kaha ja taa hai aur yeh fungus jism ke androoni hisson mein jaakar wahan ke aaza tak lagas is se woh uzoo buri tarhan mutasir hota hai aur virus ziyada hojane par is hissay ko katna pad sakta hai.
Dr gangwal ne mazeed tafseelaat batatay hue kaha ke fungus mahol mein aam tor par mojood rehta hai lekin jin logon ki qowat mudafat kamzor hoti hai to un mein yeh virus ziyada assar andaaz hosakta hai. jin afrad ko sugar, uzoo ki pyondkari, deegar azaa ki bemariyan hain aur unki qowat mudafat kam hai to yeh unhein aasani se apna shikaar bana laita hai.
Yeh fungus jo matti mein paye jatay hain, sath hi sath manh, naak ke rastay aur sehat mand afraad ke mein bhi paye jatay hain. yeh fungus aala. glucose, aala iron aur tezabiyat ke mahol mein ziyada parwarish paate hain aur ido thaleel khaliyaat ke hamlay ko farogh deta hai. yeh fungus saans ke zariye naak ki khaliyaat tak pohanchana hai aur ziyada infection ki soorat mein yeh naak ki sangeen bemari (siono sites ) ko badhata hai, aankhon aur dimagh ki khaliya bhi hai chon
Dr gangwal ke mutabiq corona ke mareezon is fungus se ziyada mutasir ho rahay hain kyunkay aisay mareezon ke jism ki qowat mudafat kam ho jati hai aur unhein steroids dawaein di jati hain. Agar aisay mareezon ko pehlay hi sugar hai to un dawaon ko diye jane par unke sugar ki satah mazeed badh jati hai. jism mein deegar virus ko khatam karne ke liye di jane wali anti biotech dawaon se bacteria khatam ho jatay hain lekin jism ke andar is fungus ko phalnay, phoolnay ka poora mauqa mil jata hai. aisay mein yeh fungus jism ke dosray hisson mein apna assar dikhaane lagta hai.
Is se bachney ke liye awam ko qowat mudafat mein izafay ke liye behtareen khanay peenay aur ghiza par tawajah markooz karni hogi jin mein protein ki miqdaar ziyada ho, Vitamins ki kami ko vitamin ki cheezon se poora kya ja sakta ha.
Alawa azeen blood sugar ko ilaaj ke zariye control mein rakha jaye aur Dr ki salah se is ki satah khaali pait 100 se 125 ki aur khanay ke baad 150 se 170 ke darmiyan ho. Agar koi steroids ka istemaal kar rahay hain to unki durust Miqdaar ka taayun waqt waqt par apne Dr ke mashwaray se karen.