Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadCorona se sehat yabi ke baad deegar amraaz mein mubtala afraad ke...

Corona se sehat yabi ke baad deegar amraaz mein mubtala afraad ke liye Gandhi Hospital mein khusoosi Center

Hyderabad: Corona se sehat yabi ke baad ke awam mein deegar amraaz aur un ke ilaaj-o-mualja ki badhti hui zaroorat ka ehsas karte hue Telangana hukoomat ne Gandhi Hospital mein Covid-19 ke baad Care Ward qaim karne ka faisla kiya hai. Covid-19 se sehat yab honay walay bohat se mareez pehphdon ko pounchanay walay nuqsaan, Heart Attack aur Stroke jaisay aasabi mamlaat mein paichidgiyan ki wajah se dawakhana mein daakhil hue hain.

Mehakma sehat ke ohdedar ne kaha hai corona se sehat yab honay walay bohat se afraad dawakhanon ka dobarah rukh kar rahay hain aur khaas tor par pehphdon se mutaliq amraaz ki shikayat kar rahay hain. Aisi sorat-e-haal mein unhein saans lainay mein takleef ka saamna karna padh raha hai aur inhen Oxygen ki musalsal farahmi ki zaroorat hoti hai. Doosri sooraton mein ahem aaza bhi infection se mutasir ho rahay hain aur jis ke liye kaseer al zaabit ilaaj ki zaroorat hai. Lehaza Gandhi Hospital mein ek khusoosi ward qaim kiya ja raha hai. Pehlay hi markazi hukoomat ne reyasti hukoomaton se kaha hai ke woh tamam sarkari dawakhanon mein Covid Care Center tainaat karen.

Is ke mutabiq reyasti hukoomat Covid ke baad deegar amraaz mein mubtala mareezon ke ilaaj ke liye Doctors ki taenati ke liye tayyar hai. Sarkari adad-o-shumaar ke mutabiq Telangana mein Corona se sehat yab honay walay afraad mein 5 feesad log aam masail se sangeen mamlaat ki shadeed pechidgion ki shikayat kar rahay hain. Ohdedar ke mutabiq sangeen mamlaat ke baad Covid ki pechidgion ka talluq pehphdon aur dil ke amraaz se hota hai jabkay sehat yab honay walay Covid-19 afraad mein se ziyada tar thakawat aur kam se kam 3 se 6 mah tak tawajah ki kami ka saamna karte hain. Covid ki bahaali ke baad mareezon ko saans ke tanao, Zehni sadme, Aarzi Diabities, Amraaz qalb, Gurday, Lablabay ke masail aur jism ki thakawat jaisay masail ka saamna karna padh raha hai.