Sunday, May 11, 2025
HomeLatest NewsCorona se sehat yab honay walay 5 mein se 1 fard zehni...

Corona se sehat yab honay walay 5 mein se 1 fard zehni beemari mein mubtala

Hyderabad: Agarchay corona marz ki taweel pechidgion ka fa-aal tor par ilaaj kiya ja raha hai lekin is ke bawajood Covid-19 se sehat yab honay walay 5 afraad mein se ek aaindah 3 mah mein zehni beemari ka shikaar ho raha hai. jinsi lancet psychiatric mein shaya honay wali ek tehqeeq ke mutabiq har 5 sehat yab logon mein ek mareez phir zehni marz mein mubtala ho raha hai. mazkoorah tehqeeq mein Covid-19 mareezon ka jaiza liya gaya hai jis mein pareshani, afsurdagi aur be-khwabi sab se ziyada aam hain. alawa azeen pehlay se mojood dimaghi sehat ki haalat mein mubtala afraad Covid-19 ka khatrah ziyada honay ka imkaan hai.

Oxford university aur NIHR oxford health biomedical research center ke mohqiqeen ki janib se yeh tajzia Amrici sehat ke taqreeban 70 million records ki bunyaad par kiya gaya hai, Bashmole Covid-19 ke 62 hazaar se ziyada aisay mamlaat hain jin mein dawakhano mein qiyam ya emergency ki zaroorat nahi thi.

Mehakma ka dora tehqeeq nafsiati kharabi ki shikayat Covid-19 ke khatray walay awamil ki fehrist mein shaamil hai. yahan tak ke reyasti hukoomat ko tamam sarkari dawakhano mein nafsiati maahir rakhnay ki ahmiyat ka ehsas hogaya hai. mehakma sehat ke ohdedaron ke mutabiq riyasat tamam azlaa mein Covid-ke alamaat mein mubtala mareezon ki bahaali ke liye doctoron ki taenati kar rahi hai.

Ohdedaron ne ishara diya hai ke yeh markazi hukoomat ki taraf se hidaayat thi kyunkay mutadid mareez post traumatic stress disorder ( PSTD)  ki ittila day rahay thay. ek ohdedar ne kaha Covid-19 se sehat yab honay ke baad bohat se mareez khud Covid-19 ki alamat ko bardasht kar rahay hain. yeh alamaat jismani aur dimaghi tandrusti mein ek challenge hain aur yeh ek aam sehat mand zindagi ko bahaal karne se rok sakte hain.

Hyderabad ke dawakhano ko bhi is mutalea mein shaamil kiya gaya jisne zehni sehat ki jaanch aur mushawarat ki hidaayat di hai. ek khangi dawakhana mein kaam karne walay ek executive ne kaha pulmonologist, neurology aur cardiology ke mehakmon ke kaseer shoba jaizay ke alawa dimaghi sehat ki tashkhees aur mushawarat ko Covid-ke baad ki dekh bhaal ke liye Apollo recovery khusoosi cilinic mein shaamil kiya gaya hai. yeh iqdaam is liye hai ke corona se sehat yab honay ke baad yeh log zehni amraaz ka shikaar ho rahay hain jis se un ki sehat mein nai paichidgiyan peda horahee hain.