Friday, May 17, 2024
HomeOthersHealthCorona se sehat yab honay ke baad dobarah Corona nahi hota

Corona se sehat yab honay ke baad dobarah Corona nahi hota

New Delhi: Coronavirus ne saari duniya ko pareshan kar rakha hai aur is ne duniya mein kayi hazaar afraad ko mout ki neend sulaa diya hai jabkay lakhoun afraad is ki dehshat ki wajah se zehni bemaar ho chukay hain lekin ibtidayi tehqiqaat ke baad ye kaha ja raha hai ke agar koi Corona se sahet yab hojata hai to usay dobarah is marz ka khadsha nahi rehta. Corona se mutasir honay walay ek lakh se zayed mareez sahet yab bhi ho chuke hain. Taham kiya rubasehat honay waloun ko dobarah Corona Infection ho sakta hai? Mohqiqeen is ka wazeh jawab talaash karne ki koshisho mein hain.

Amly Zarkence guzashta 2 haftoun se is khushgawar lamhay ke intzaar mein then. Inhen baher ja kar chehal qadmi karne ki ijazat day di gayi hai. Is par izhaar khayaal karte huve unhoun ne kaha ke mein bohat khush hon aur sooraj ki har kiran se lutaf andoz ho rahi hon. Sab se pehlay mein ne apne walidain ko gilaay lagaya. Ye ek shandaar ehsas tha. Amly zarkence Berlin mein apne walidain ke sath rehti hain. Corona ki tasdeeq honay ke baad wo guzashta 14 dinoun se apne kamray mein hi then. Ab wo sahet mand ho chuki hain. Lekin kiya un ka mudafati nizaam itna mazboot ho chuka hai ke wo dobarah is Virus ka shikaar nahi hongi? kya ab wo Corona se mehfooz ho chuki hain?

Un sawalaat ke jawabaat mein ziyada tar mahireen samiat ya Virologists ki terhan Helm Bowls Institute ki Melani Bernigaman ne kaha ke bohat imkaan hai ke agar kisi ko ek martaba Corona hogaya ho to usay dobarah nah ho, Hum jantay hain ke mareezoun ke madafati nizaam ne apna rad-e-amal zahir kiya hai lekin hamein ye pata nahi ke aisa kab tak hoga kyunkay hum January ke wast se hi is Virus ke baaray mein jantay hain.

Mohqiqeen Anti Bodies ke zariye is sawal ka wazeh jawab talaash karne ki koshisho mein hain. Ibtidayi tajurboun mein sahet mand honay walay mareezoun mein Anti Bodies mili then. Khaas nasal ke Langoroun par kiye gaye tajurboun se bhi ye wazeh huva hai ke pehli martaba Coronavirus ki nai qisam ki Infection honay ke baad doosri martaba inhen Infection nahi huva halaank inhen mukhtalif qisam ke Virus ka khatrah tha magar ye langoor is se mehfooz rahay. University of Cologne madafati nizaam par tahaqeeq karne walay sarkardah idaroun mein se ek hai. Florian Kyln apni Team ke sath Anti Bodies bananay par tahaqeeq kar rahay hain. Is mauqa par unhoun ne kaha ke filhaal hum is par tahaqeeq kar rahay hain ke kon si Anti Bodies aur kon se madafati rad-e-amal tashkeel payen ge. Hum ye jhanch ne ki koshish kar rahay hain ke khalioun ke Khasais kisi Infection ko kis terhan se rok satke hain. Anti Body tayyar karne ka silsila abhi jari hai aur is tahaqeeq ka maqsad ek qabil bharosa muaina daryaft karna hai. –YTN STAFF