Monday, April 21, 2025
HomeIndiaCorona se Railway ki aamdani mein 58 feesad kami, Kayi afraad ki...

Corona se Railway ki aamdani mein 58 feesad kami, Kayi afraad ki mulazimaten khatray mein

New Delhi: Corona waba ka assar poori duniya mein saaf nazar aa raha hai jahan mukhtalif shobo ko is ne jhatka diya hai wahein Hindustan mein bhi corona Infection ne tabahi ka aalam peda kar rakha hai. Is douran hindustani Railway ki kamaai mein zabardast kami aayi hai.

Ek Report ke mutabiq guzashta saal April-May mein huvi kamaai ke muqablay is saal April-May mein 58 feesad ki kami aayi hai. Kamaai mein huvi is kami ki wajah se mulazmeen ke liye pareshaaniya badh gayi hain kyunkay aisay khadshaat zahir kiye ja rahay hain ke un ki baday pemanay par bartarfi ho sakti hai.

Railway ki kamaai mein huvi kami ko dekhte huve Railway ke Financial Commissioner ney kharch ko kam karne ka mashwara sabhi 18 zone ke GM ko diya hai. Is silsilay mein bazabta ek hidayat jari ki gayi hai jis mein kaha gaya hai ke chunkay hukoomat hind ney Railway ko apne sabhi kharch apni kamaai se nikaalne ke liye kaha hai, Is liye zurori hai ke kharchoun ko mazeed mehdood kiya jaye.

Is darmain Railway ke aisay mulazimeen jinhen subuk doshi ke baad bhi Contract par rakh liya gaya tha, Unhein pehlay hi nikaalne ka hukum jari kiya ja chuka hai. Ab deegar muahiday walay mulazimeen ki bhi bartarfi ka imkaan hai. Jari hukum nama mein kaha gaya hai ke Re-Engaged staff ko Reserved karen aur un ko kam karne ke imkanaat talaash karen. Hukum nama mein ye bhi kaha gaya hai ke safety se judey naye ohdoun ko chod kar koi bhi dosray ohday nah nikalay jayen. Guzashta 2 saal mein banaye gaye naye ohdoun par bhi nazarsani karne ka hukum diya gaya hai aur agar un naye ohdoun par taqarurat nah kiye gaye hon to is par rokk lagaye jane ki hidaayat di gayi hai.

Kharch mein takhfeef ka asar mulazimeen ke over time Allowence aur safri Allowence par bhi padney wala hai jinhen 50% kam kar diya gaya hai. Is ke ilawa dosray allowence ko bhi 33 feesad se 50% tak kam karne ka hukum huwa hai. Passenger Reservation System ke PRS Counter bhi kam kiye jayen ge. Kuch deegar iqdamaat bhi Railway ke zareya uthaye ja rahay hain, Maslan 31 saal puranay sabhi diesel loco ko farokht kiya jaye ga,

Out Sourcing sar garmioun mein takhfeef ki jaye gi aur khusoosi tor par aan Board House Keeping Service, Linen Managment, Station Cleaning, Lift, Scatter Managment aur Station Announcement ka kaam jahan tak mumkin ho Railway mulazmeen khud karen ge. Jab tak fund nah ho tab tak koi tajweez ya tender ki ijazat bhi diye jaany se mana kiya gaya hai aur station par sajaawati kamon par dheyaan nah dainay ki baat kahi gayi hai.