Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadCorona se mutasirah ilaqoun mein Dengue, Awam aur ohdedaroun ke liye ek...

Corona se mutasirah ilaqoun mein Dengue, Awam aur ohdedaroun ke liye ek aur azmaish

Hyderabad: Ab jabkay Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) ki hudood mein COVID-19 ke mamlaat taizi se badh rahay hain, Dengue jis ne 2019 mein Telangana ko pareshan kiya tha, Ek baar phir apna asar dekha raha hai. Hyderabad district health office ke zaraye ne kaha hai ke GHMC ki hudood mein June mein pehlay hi Dengue ke 3 waqeat ho chuke hain.

Ye mamlaat Charminar, Khairtabad aur Srilingampally ke hain jo ittafaq se bad tareen COVID mutasirah ilaqoun mein se bhi hain. Is saal Dengue ke mamlaat bohat kam hain, Lekin tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar ki jarahi hain. Ek E Portal hai jo dawakhanoun ( khangi aur sarkari ) ko GHMC Entomology Wing se jodta hai, Ek ohdedar ne kaha ke jab bhi maamla samnay aata hai har baar is ki taaza kaari jankari Record hoti hai.

Shehar mein Dengue ke mamlaat 3 yani thodi tadaad mein hain, Lekin hukkaam koi khatrah lena nahi chahtay hain. Guzashta saal GHMC hudood mein kam az kam 1400 tasdeeq shuda Dengue mamlaat darj huve they. Is ke ilawa khangi dawakhanoun se bhi 1960 mushtaba Dengue ke Case samnay aaye hain. Pichlle saal mamlaat mein huve izafay ki roshni mein hukkaam ne pehlay hi GHMC ki hudood mein 389 mutasir honay ilaaqoun ki nishandahi ki hai.

GHMC ke Chief Entomology Dr Ram Babo ney kaha hai ke aur jab misbet mamlaat samnay ayen ge to is ilaqay ko hot spot ke tor par samjha jaye ga aur dhowen aur Anti larawa sar-garmioun ko taiz kiya jaye ga. MOOD ke wazeer KT Rama Rao apni 10 minute har itwaar ki subah 10 bajey muhim ke zariye tarz amal mein tabdeeli ke baare mein baat karte rahay hain aur logoun ko gharoun mein pani saaf karne ki takeed karte hain. Is muhim mein naaloun, Jheeloun aur Moose Nadi jo taqreeban 21 kilometer hai ko hadaf banana hai. Yahan naloun ko hataane ka kaam len ge aur macharoon ki afzaish ko roknay ke liye Chemicals ke chidkanay ke liye Drone ka istemaal kiya jayega.