Sunday, May 19, 2024
HomeExclusiveCorona se bhi ziyada khatarnaak ek aur Virus - Ulma aur Mashayekhin...

Corona se bhi ziyada khatarnaak ek aur Virus – Ulma aur Mashayekhin mutwajjah hon

Hyderabad: Jab se Corona aur is se pehlay NRC ke virus phailay, Har shakhs ki zabaan par yahi hai ke ye Allah ka azaab hai jo hamaray kartotoun ki wajah se aaya hai. Aayye ek aisay hi kartoot ka jaiza letay hain. Lockdown ke douran honay wali kayi shadioun ki khabrain ayen. Sabhi is khush fehmi mein they ke yaqeenan ye shadian mukammal sanat ke mutabiq huvi hongi yani na koi mangni nah barat, Nah  koe Videography aur nah beauty parlor, Har qisam ke israaf o tabzir se pak hon gi. Lekin aap ko ye jaan kar dukh hoga ke un bad tareen halaat mein bhi wo fitnah khatam nah ho saka jo Allah ke azaab ko apni aankhoun se dekhte huve khatam hojana chahiye tha. 10 shadioun mein se ek ya 2 to MashaAllah waqai sunnat ke mutabiq huven lekin 90%  shadioun mein ye huwa ke ladki waloun ka jo paisa baarat ke khanay, Jahez ki kharidi aur mangni ya doosri rasmen nah honay se bach gaya wo poora  ka poora ladke waloun ne naqad cash ya kisi aur shakal mein wusool karliya. Crime wahi raha sirf tareqeye wardat badal gaya. Ladke waloun ki taraf lout maar mein koi kami nahi huvi balkay dogni hogayi. Be-sharmi aur be-ghairti ki ye daleel di gayi ke aap neh bachhi ki shadi ke liye kuch nah kuch to bachaaya hi hoga, Hamein kuch nahi chahiye, Bas apni beti ko day dijiye. Is ko hum kameengi ya kam zarfi nahi keh satke kyunkay aisay girey huve alfaaz ka istemaal ek mayaari akhbaar ke shayanِ shaan nahi, Haan aap jo chahay keh len.

Lekin jurm ke qasoor waar sirf ladke walay nahi hain. ladki walay ladke waloun se ziyada zimma daar hain. Rishwat kabhi lainay waloun se ziyada nahi phelti, Dainay waloun se ziyada phelti hai. Jo majaboor ya zaroorat-mand hota hai wo kutton ke agaye ziyada badi haddi daal deta hai. Ladki walay bilkhushoos ladki ki Maa, Khalah, Dadi aur Nani waghera asal fitnah hain. Inhen apne betay ka mustaqbel bananay se ziyada  delchasbi ek damaad ko kharidnay aur beti ka ghar bharnay se hoti hai, Chahe is ke liye ladki ka baap qarzoun mein doob jaye chahay bhai kangaal hojaye. Isi liye agar ladke walay koi jahez ya naqad raqam lena nah bhi chahain to ladki walay israar karte hain aur kehte hain ye to ladki ka hak hai, Is ka naseeb hai, Ladki khaali haath jaye gi to loog kiya kahenge waghera.

Lockdown mein kaarobar band honay ki wajah se yun bhi sab ki aknami tabah hochuki hai, Lekin is se bhi bura waqt anay wala hai. Gulf mumalik ki khabar hai ke lockdown ke baad hazaroun nokriyan khatam honay wali hain. Idher mulk mein fashst, Musalmanoun ko nokriyoun se nikalwane ki muhim chala rahe hain, Teesray ye ke NRC, NPR, ka fitnah khatam nahi huwa, Lockdown ke baad phir sar ubharega kyunkay hukoomat mukammal nakaam hochuki hai, Aur awam ki tavajja hataane ke liye is ke paas siwaye Musalmanoun ke khilaaf nafrat bhadkanay ke aur kuch nahi hai. Is liye iss waqt ek ek rupiya sambhaal kar rakhnay ki zaroorat hai.

Hum ne corona lockdown relief pohanchanay ke silsilay mein jitne ilaaqoun ka dora kiya aisay aisay afsoosnaak waqeat dekhe ke sar sharam se jhuk gaya. Musalmanoun ki gurbat o iflaas to pooray urooj par hai hi, Gharoun mein jawan ladkiyan baithi hain jo shadi ki omar se tajawaz kar rahi hain lekin Maa Baap un ki shadi ki istetaat nahi rakhtay.  Middle Class aur Poor class saaray shadioun mein paisa barbaad karkay tabah haal hain. Aisay waqt mein agar Musalman mard, Haqeeqi mard ban jatay to ek bad tareen museebat Musalmanoun ke sar se tal sakti thi, Lekin jistarah samaan ki zakheera andozi hoarding karne walay ya sharaab baichnay walay lockdown ka bharpoor faida utha taay hain aur qeematein badha kar khoob kamate hain, Bilkul isi terhan lockdown ka faida utha kar ladki waloun ney bhi apne rate achanak bherdhaye hain. Seedhay seedhay ye keh rahay hain ke shadi multawi kijiye, Ya phir aisay isharay dete hain ke naqad raqam badhaye.

Dehli fasadaat hon ke dosray kayi dehshat gardi ke waqeat, Jitne ghande hain saaray ke saaray azad ghoom rahay hain, Kyun? kyunkay un ke paas power hai. Aur ye insani nafsiat hai ke jab power haath mein hota hai tu insaan kamzoroun ka istehsal Exploitation karta hai. Lekin dosaroun par ungli uthany se pehlay zara hum khud apne daman mein jhankiye. Kya hum RSS / BJP ke ghundoun se kam hain? Kya hum ”Ladke walay “honay ka power istemaal karkay ladkiyoun par zulm nahi kar rahay hain? Mangni ka khana, Jahez, Baarat ka khana aur jode ki raqam wusool karne ka power jo hamaray baap dada se virasat mein mila hai jis ko samaaj aur rasam o rivaaj ka mukammal Endorsement mila huwa hai, Kya hum ye bharpoor istemaal nahi kar rahay hain? Agarchay ke ye ek bheek aur Social Blackmail hai lekin hum tasleem nahi karte ke hum bheek aur jahez ki rishwat khatay hain. Usay halal samajh kar khatay hain, Aur khanay waloun ko Mubarakbaad pesh karte hain . Ek taraf kehte hain ke hamein kuch nahi chahiye lekin doosri taraf ”Khushi se dainay aur lainay “ ke naam par sab kuch wusool karte hain. Kya ye jhoot aur munafiqat nahi hai?  Is lout mein ladkoun ki maaen, Dadioun aur Nanioun saari shaamil hoti hain, Agar un ki tawaquaat se zara sa bhi kam miley to anay wali bahoun ki zindagi ajeeran kardeti hain. Ye hai hamaray ”Mard“ honay ke power ke istemaal. Ab hum kis mun se Modi, Yogi ya Amit Shah par power ko ghalat istemaal karne ka ilzaam day satke hain? Aisay waqt mein Ulma aur Mushaykhin ki bohat badi zimma dariyan hain.

Hum un se intehai modebana darkhwast karte hain ke jis terhan aap ny coronavirus ko khatam karne ke liye fatwe diye, Musafah, Milnay milaane aur har qisam ki Social Gathering par sharai tor par rokk laganay ke juwaz pesh kiye. Hatta ke namaz-e bajmaat, Jummay, Taraveeh, Shab-e-Qader aur iftaar ko tak sakhti se rokk diya aur masjidoun par tala dalwa deya. Quran o hadees aur sunnat se dalail pesh kiye. Aap ne ghalat kuch nahi kiya. Jo bhi kiya wo nah sirf hukoomat ki madad ke liye tha balkay awam ki sahet aur bhalai ke liye hi tha . Is liye aap ki tahaqeeq aur bayan waqt ki ahem tareen zaroorat thi, Balkay Islam ki asarِ haazir mein sahih tarjumani thi, MashaAllah. Lekin ye bhi ghhor farmaen agar corona se loog mar rahe hain, Is liye is ke tadaruk ke liye ye fatwe jari karna zurori tha, Yo ye bhi dekhye ke ek aur virus aisa hai jo corona se bhi kahin ziyada khatarnaak hai. Covid-19 se marnay waloun ka tanasub sirf 3% hai, Corona ke fatatlity rate yani marnay waloun ke tanasub ko samnay rakhiye aur is virus ki wajah se marnay waloun ya mutasir honay waloun ke tanasub ko samnay rakhiye, Aap dang reh jay jis corona ki wajah se taqriban 2 mahinay se mukammal lockdown karna pada, Pooray Hindustan mein aaj ki tareekh tak marnay waloun ki tadaad 1200 hai, Aur saari duniya mein marnay waloun ki tadaad 2.5 lakh hai. Jab ke jis virus ki baat hum kar rahay hain is ki wajah se har saal 2 lakh ladkiyan Maaon ke paitoun mein hi mardi jati hain. National Crime Records Bureau ( NCRB ) ki report jo Google par mojood hai, Is ke mutabiq har roz marnay wali ya mardi jane wali ladkiyoun ki tadaad 21 hai, Yani har saal 7665 larkiyan apni jaan gawati hain aur har roz 150 larkiyan isi virus ke nateejay mein jo Domestic Violence hota hai is mein zakhmi hojati hain. Yani salana 54,750 aurtain zakhmi hoti hain. Abortion yani isqaat hamal Islam mein bhi Haraam hai aur Indian qanoon ke tehat bhi jurm hai, Lekin apne shehar ke kisi bhi Maternity home ke kisi mulazim ke haath mein ek ya do hazaar rakh kar puchiye, Wo andar ke raaz bataday ga ke har roz kitney hamal karade jatay hain. Is virus ki wajah se har roz fahaashi Prostitution par majaboor honay wali ladkiyoun ki tadad hazaroun mai hai.

Ulma bhi, Mushayekhin bhi aur hum bhi is virus ko roknay ki har terhan talqeen aur tableegh kar rahay hain, Lekin sawal ye hai ke is shadioun ke virus ke khilaaf hum kiya kar rahay hain? Hamaray Ulma kya kar rahay hain. Jis terhan Ulma aur Mushayekhin ne corona ko khatam karne ke liye har terhan ki social and Religious distancing yani kisi bhi qisam ke samaji ya mazhabi ijtima ke khilaaf juwaz pesh kiya hai, Shadioun se peda honay wali barbadiyoun ke virus ko khatam karne ke liye aap aisi shadioun se mukammal distancing yani mukammal boycott ka Fatwa kyun nahi day satke? Jabkay Quran o hadees, Agra is mein aap ko koi shak ho to hamein WhatsApp kijiyej hum pooray dalail faraham kar saktay hain. Coronavirus ne kam az kam ek sabaq to sikhaya hai ke kisi bhi mohlik waba se bachney ka pehla effective tareeqa yahi hai ke jahan jahan ye virus peda ho sakta hai un se daur bohat daur raho. Barsa bars se jahez aur barat ke khilaaf taqriren aur waaz bohat ho chukay, Mazameen aur kitaaben bohat likh chuke, Ab aisay mareezoun se mukammal doori ikhtiyar kar lanay ka waqt aachuka hai. Ye ho sakta hai ke khud aap Ulma aur Mushayekhin ki gharoun ki shadian isi virus se mutasir huvi hon, Ye ho sakta hai ke aap aisi ghirshray rasomaat wali shadioun mein shirkat karte arhay hon, Lekin kam az kam Quran o hadees mein aisi shadioun mein shirkat ke talluq se jo wazeh ehkamaat mojood hain un ko bayan to karna aap par farz hai, Mehez apne oopar harf aajane ke khauf se ya baday logoun ke naraaz hojane ke khauf se boycott ke ehkamaat ko khol khol kar bayan nah karna haq hai Hiding the Truth hai.

Un shadioun ke virus ki wajah se honay wali ikhlaqi amwaat moral Deaths balkay ikhlaqi khodkushyoun moral suicides ka andaza lagaye. Is ke samnay corona ki koi hesiyat hi nahi. Hal ek hi hai wo ye ke jis terhan Covid-19 ke mareezoun se milna to darkunar, Agar wo marjayin to un ki mayyat ka bhi aap Boycott kar rahay hain, Qabrustanoun mein aisi mayyat ki tadfeen ki bhi ijazat nahi day rahay hain, Bilkul isi terhan jo loog muashray ko barbaad karne wali, Un shadioun ke virus ka shikaar hain, Un logoun ka bhi boycott laazmi hai, Warna kal ye muashra ikhlaqi aur maali taur par taba huna wala hai. Agar aaj koi ghar farokht karkay ya bheek ya karzz maang kar aap ko apni beti ya behan ki shadi ki dawat day raha hai aur aap pooray shoq se jarahay hain to yaad rakhiye kal aap ko bhi apna ghar farokht karna padhega ya apne betay ko kangaal karkay damaad ko kharednay ke liye majaboor hona padega. Jo loog Nabi ki nikah ki sunnat ke boycott par zid aur hatt dharmi par uday hue hain, Aur aap ko dawat nama dena chahtay hain, ye loog sunnat ke dushman hain, Un ka ruqaa qubool karna to darkunar un se musafah karna, Un ki rasomaat mein shirkat karna, Mubarakbaad dena, Un logoun ka khana chay. Allah ke Nabi ney farmaya tha ke sab se behtareen nikah wo hai jo sab se aassan aur kam kharch ho. Is ka matlab ye bhi nikalta hai ke sab se bad tareen nikah wo hai jis mein fuzool kharch ho, Wo rasmen ijaad ki gayi hon jo nah hamaray Nabi ki kisi shadi mein, Nah un ki sahabzadiyoun ki shadioun mein aur nah kisi sahabi ki shadioun mein theen. Aisi shadioun mein shirkat karne walay asal virus ko phelanay walay loog hain. Aisay shirkat karne waloun se bhi daur rehna aisa hi zurori hai jaisay corona ke mareez ke qareebi rishta daaroun se bhi daur rehna zurori hai. Unhi logoun ki wajah se aaj ummat par ye azaab aaya hai, Aur isi ka nateeja hai ke aaj BJP/ RSS ke ghunda anasir poori qoum ko har terhan se zaleel karne par taley huve hain.

Dr Aleem Khan Falki
9642571721
Sadar Social Reform Society, Hyderabad