Monday, April 29, 2024
HomeIndiaCorona ki wajah se Hajj 2021 mehanga hi hoga : Mukhtaar Abbas...

Corona ki wajah se Hajj 2021 mehanga hi hoga : Mukhtaar Abbas Naqvi

Srinagar: Hindustan ke markazi wazeer-e-baraye aqliati umoor Mukhtaar Abbas Naqvi ne kaha hai ke corona waba ki wajah se Hajj 2021 ke akhrajaat badh jayenge aur corona ki wajah se ye Hajj 2021 ek alag sorat-e-haal mein anjaam Pazeer hoga.

Markazi wazeer ne un baton ka izhaar media ke sath ek interview ke douran Kiya hai. is mauqa par unhon ne kaha ke saal 2021 ka Hajj jo hoga woh corona ki wajah se alag hi sorat-e-haal mein hoga, is sorat e haal mein hajj ke akhrajaat mein izafah hoga jis se Hajj ke mehangay honay mein koi do raye nahi hai.

Abbas naqvi ne mazeed kaha ke Hajj chunkay Saudi arab mein hota hai wahan ki hukoomat ke protocol ke mutabiq jis kamray mein 8-9 zaireen rehtay thay is mein ab sirf 2 ya 3 hi Hujjaj-e-ikraam reh satke hain aur jis gaadi mein 45 haaji safar karte thay is mein ziyada se ziyada 20 haaji safar karenge aur is ke alawa bhi deegar akhrajaat mein izafah hoga.
Wazeer naqvi ne kaha ke aazmeen Hajj ka safar par rawana honay se 72 ghantay qabal corona test Kiya jayega. Taham unhon ne kaha ke hamein umeed hai ke is se qabal corona khatam hojayega. wazeer naqvi ne kaha ke hamara Saudi arab ki wizarat-e-hajj wo omra ke sath mah decemeber mein 2 Tarfah moahida tay honay wala hai jis mein dekha jayega ke hamein kitna quota mil sakta hai. unhon ne kaha ke corona ke paish-e-nazar hajion ki Umar ki had ko bhi 18  se 65 baras tak mehdood kar diya gaya hai. Naqvi ne kaha ke Mehram ke baghair hajj karne wali khawateen amsal bhi darkhwast jama kar sakti hain. unhon ne kaha ke hukoomat ne corona ke paish e nazar Saudi hajj jane ke liye parwaazon ke imbrications points ko 21 se ghata kar 10 kar diya hai taham un 10 marakiz mein srinagar shaamil hai.

Qabil-e-zikar hai ke Hajj saal 2021 ke liye Hindustan se hajion ka pehla qaafla 26 June ko jabkay aakhri qaafla 13 July ko Saudi arab rawana honay ki umeed hai. hajion ki wapsi ka silsila 14 august se shuru honay ki umeed hai. Corona waba ki wajah se saal 2020 ka hajj mutasir raha tha jahan sirf Saudi arab ke bashindon aur wahan mojood berooni mumalik ke afraad ko Hajj ke fareeza ki ijazat di gayi hai.