Congress ke sabiq saddar Rahul gandhi ne corona waba ki teesri lehar par qaboo panay ke liye kiye jane walay iqdamaat ke silsila mein hukoomat se sawalaat pouchye aur kaha ke hukoomat ko batana chahiye ke delta plus variant par corona teeka kitna mo-asar hai. Rahul gandhi ne tweet kya delta plus variant par modi hukoomat se sawal, is ki jaanch aur rokkk thaam ke liye barray pemanay par muanay kyun nahi ho rahay hain. vaccine is par kitni mo-asar hai aur woh mukammal maloomat kab dastyab hon gi. teesri lehar mein is par qaboo panay ka mansoobah hai.
Congress ke mawaslati shobay ke sarbarah randeep singh sirjewala wala ne raam mandir ke chande mein bud unwani ka ilzaam lagatay hue kaha ab to sach camera par samnay hai. arhhayi crore mein shree raam mandir trust ko farokht ki gayi zameen asal mein sarkari hai. to phir aqeedat mandoon ke atiyah ke mujremana ghalat istemaal parkia Wazeer e Azam aaj karwai ka elaan karen ge.
ALSO READ: Ram mandir ke cahnde mein bud unwani ki Supreme Court se tehqiqaat ka mutalba
Alawa azeen Dehli reyasti congress ne kaha hai ke corona bohraan ki doosri lehar ke waqt malik mein oxygen ki bhaari qillat ke bawajood cheif minister arvind khjrewal ne zaroorat se bohat ziyada oxygen ka mutalba kya tha aur iss ka inkishaaf Supreme Court ke zareya tashkeel kardah committee ne bhi kiya hai is liye inhen ohday se istifa dena chahiye aur in ke khilaaf fir darj ki jani chahiye.
Dehli hukoomat ke sabiq wazeer dr nerinder nath ne yahan press conference mein kaha ke corona bohraan ke waqt oxygen ki kami ke sabab barri tadaad mein logon ki mout hui hai. bohraan ke is daur mein khjriwal ne chaar guna ziyada oxygen ka mutalbah kiya tha jis ki wajah se 12 reyaston ki oxygen ki farahmi mtasir hue delhi samait kayi reyaston mein oxygen ki kami se senkron afraad ki mout hui hai aur iss ke liye khjrewal zimmedar hai.