Saturday, April 20, 2024
HomeIndiaCorona ki mumkina teesri lehar ke paish e nazar Dehli mein tayyariyan

Corona ki mumkina teesri lehar ke paish e nazar Dehli mein tayyariyan

Dehli ke cheif minister Arvind kejriwal naay kaha ke Dehli hukoomat corona ki mumkina teesri leher paish e nazar 5000 health assistant tayarkre gi, jis ke tehat health maavnin ki hesiyat se paanch hazar naujawan ki tarbiyat di jaye gi. Kehjirwal naay kaha hai ke pehli aur dusri lehar ke douran tibbi aur paramedical amlay ki kami thi lehaza ab is ke paish e nazar 5000 health assistant tayyar karnay ka faisla kiya gaya hai. hukoomat inhen IP university aur 9 medical institute mein nursing, paramedics, homecare, blood pressure ki pemaiesh, vaccination waghera ki bunyadi tarbiyat

Chief minister ne health assistants doctoron aur nurson ke maavnin ke tor par kaam kringe aur woh khud faisla nahi kar saken ge. un ki madad se doctor ziyada mo-asar andaaz mein kaam kar saken ge aur mareezon ki dekh bhaal bhi bohat achay tareeqay se kar saken ge. is ke liye 18 saal se ziyada umar k 12 win jamaat kamyaab nojawan 17 June se online darkhwast day satke hain aur un ki tarbiyat 28 June se 500-500 ke group mein shuru hogi.

ALSO READ: Viral Video se BJP aur RSS ki badunwani be naqaab: Congress

Mujhe lagta hai ke is faislay se hamari teesri lehar ki jari tayario ko zabardast farogh miley ga. unhon ny kaha ke jaissa ke aap sab dekh rahay hain ke Dehli mein pichlle kuch dinon se mumkina teesri lehar se Dehli ko bachanay ke liye tayyariyan ki jarahi hain. mein ny pichlle kuch dinon mein mutadid dawakhanno ka bhi dora kya taakay mumkina teesri leher ka tayario ka jaiza liya jasakay .

Kejriwal ne kaha ke Dehli mein bohat se naye oxygen plants bhi lagaye jarahay hain. Oxygencontainers, oxygen cylinders oxygen storage tank samait bohat saari tayyariyan mumkina teesri lehar ke liye ki jarahi hain lekin agar teesri lehar aajay gi to jaisa ke hum ne pehli aur dosri lehar mein dekha hai wahan tibbi aur paramedical amlay ki bohat barri kami hojati hai

Is baat ko mad e nazar rakhtay hue Dehli hukoomat naay 5000 health assistants ko tayyar karne ka aik bohat hi shandaar mansoobah banaya hai. inhen takneeki zabaan mein community nursng assistants bhi kaha jata hai .