Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsCorona ki dawa mil gayi, Bartania mein ahem pesh raft

Corona ki dawa mil gayi, Bartania mein ahem pesh raft

London: Aalmi idaara sahet ( WHO ) ne ek Science pish raft ko khush aaind qarar diya hai jis mein Bartanwi mohqiqeen ne elaan kiya ke Steroid Group ki ek dawa intahi khatarnaak alamaat mein mubtala Covid-19 ke mareezoun ki zindaganian bachanay mein muasar saabit huvi hai. WHO ke Director General Tedros Adhanom Ghebreyesus ne ek bayan mein kaha ye pehla mauqa hai ke ek dawa ne  Covid-19 ke mareezoun mein amwaat ko kam karne mein madad di hai. Ye do aise mareezoun ke liye kar-gir saabit huvi hai jo oxygen Tubes ya masnoi saans lainay walay alaat ki madad se zindagy ki saanse puri kar rahe hai.

Unhoun ne mazeed kaha ye khushkhabri hai aur mein Bartanwi hukoomat, Oxford university, Dawakhana aur Bartania ke be shumaar mareezoun ko mubarakbaad pesh karta hon jinhoun ne zindagi ko bachanay wali science pish raft mein hissa liya hai. Bartanwi Doctors ne kaha hai ke Steroid Dexamethasone nami dawai aam aur waafar miqdaar mein dastyab hai. Is dawai ke istemaal se Corona ka shikaar honay walay intehai shadeed alamaat ke mareezoun ko bacha liya gaya hai. Is dawai ke istemaal se ye umeed peda huvi hai ke Corona ka ilaaj is se mumkin hai.

Oxford university ki ek team ki sarbarahi mein mohqiqeen ne Covid-19 ke 2 hazaar se zayed tashweesh-naak haalat ka shikaar mareezoun par dawa ka tajurbah kiya, University of oxford medical department ke emerging affective bimarioun ke Professor Peter Horby ney kaha Dexamethasone pehli aisi dawa hai jis ney Covid-19 ke mareezoun ki baqa mein behtari ki umeed peda ki hai. Ye ek bohat aaccha nateeja hai.

Bartanwi wazeer e sahet Matt Hancock ne elaan kiya ke Bartania Covid-19 ke mareezoun ko fori tor par Dexamethasone pesh karna shuru karde ga. Unhoun ne zor dete huve kaha ke Bartania ne 3 mah qabal is ki ifadiyat ke pehlay isharay zahir honay ke baad se wasee pemanay par dastyab dawa ka zakheera karna shuru kiya tha. Unhoun ne mazeed kaha ke hamaray paas 2 lakh khorakin istemaal ke liye tayyar hain aur hum National health service ke sath kaam kar rahay hain taakay Covid-19 Dexamethasone ko mamool ke ilaaj shaamil kiya ja sakay.