Saturday, May 4, 2024
HomeSliderCorona ki dawa ka October ya November mein dastyab honay ki umeed

Corona ki dawa ka October ya November mein dastyab honay ki umeed

Basal: Coronavirus se is waqt saari duniya pareshan hai aur har kisi ko is ki dawa ka be sabri se intezaar hai lekin is ki dawa ki umeed rawan saal October aur November ki ja sakti hai kyunkay Switzerland ki Bern University ke Professor Martin Bachmann ne kaha hai ke Corona ke khilaaf Vaccine October ya November tak tayyar hosakti hai. Oxford University ke Professor ne Geneva mein aqwam mutahidda ke daftar mein Media numaindoun se guftagu mein ye khayaal zaher kiya hai ke Coronavirus ki Vaccine October, November mein tayyar hojaye gi jis ke tajarbaat August ke wast tak mukammal hojaienge.

Unhoun ne kaha ke tajurbah shuru karne ke liye hukoomat ki manzoori ka intezaar hai, May mein tajarbay shuru kardiye gaye to umeed hai ke August tak Vaccine ki tayyary ke qareeb poanch jayenge. Professor ne mazeed kaha kay tajarbaat ke baad sab se bada Challenge Vaccine ki arboun ki tadaad mein tayar hoga jis ke liye Swiss Company Saiba  ke sath koshishen jari hain. Doosri janib Saiba  ne kaha hai ke hamari khawhesh hai ke Switzerland is Vaccine ki tayari ka sehra apne sar le jis ke liye hum kaafi par umeed bhi hain. Company ke Director Operations aur Biotech Gary Jennings ne kaha ke Vaccine ke tajarbay ka istemaal mah rawan ke aakhir tak mukammal hojayega.
Aalmi idaara sahet ne bhi is Vaccine ki tayari ko khush aaind qarar dete huve kaha ke hamara idaara Vaccine ke silsilay mein mushtarqa taawun mein masroof hai lekin yahan ye baat qabil zikar hogi ke is ki duniya bhar mein taqseem munsifana aur shafaaf tareeqay se amal mein layi jaye. Idaray ne mazeed kaha hai ke is Vaccine ka tajurbah agar misbet nikla to ye is kurrah arz ki ek aisi tibbi, Siyasi aur maliyati kamyabi hogi jisay insaaniyat nasal darnasal yaad rakhay gi. Wazeh rahay ke duniya bhar mein Coronavirus se honay wali amwaat 1 lakh 70 hazaar se badh gayi hain. –YTN STAFF