Monday, May 12, 2025
HomeHyderabadCorona ke sabab shehar Hyderabad mein sabzioun ki qeematoun mein izafah

Corona ke sabab shehar Hyderabad mein sabzioun ki qeematoun mein izafah

Hyderabad: Corona ke sabab shehar Hyderabad main sabzioun ki qeematoun mein izafah darj kiya gaya hai. Loog bazaar jaakar sabzi ki kharidari par khaofzada hain. Sabzi ki qeematein jo lockdown mein kam hogayi thi mein ek martaba phir izafah darj kiya gaya hai. Filhaal bazaar mein Tamatar ki qeemat 40 taa 50 rupiye fi Kilo, Binez ki phali fi kilo 50 rupiye fi kilo, Bhendi 30 rupiye kilo, Karelaa 30 rupiye, Begun 30 rupiye kilo ke hisaab se farokht ho raha hai. Bazaroun mein Gaajar 50 rupiye kilo, Turai 40 rupiye, Mirchi 45 rupiye, Shimla Mirch 65 rupiye taa 70 rupiye fi kilo ke hisaab se farokht horahee hai.

Tajereen ka kehna hai ke deegar reyastoun se sabzi ki Hyderabad mein kam aamad ke nateeja mein is ki qeematoun mein izafah darj kya gaya hai. Tajereen ka kehna hai ke corona ki wajah se 11 bajey din tak bhi bazaar mein gahak nazar nahi aarahay hain. Shehar mein corona ke misbet mamlaat mein izafah ke nateeja mein Markets mein gahkoun ki tadaad mein kami huvi hai. Ritu Bazaroun mein corona ki rokk thaam ke liye Market ko anay waloun ko Sanitizer faraham kiye jarahay hain.

Ritu Bazaroun ke ohdedaroun ka kehna hai ke Lockdown jaisi sorat e haal nahi rahi aur ab bazaroun mein gahkoun ki tadaad mein kami darj ki gayi hai. Doosri taraf shehrioun ka kehna hai ke shehar ke bazaroun mein sabzioun ki qeematoun mein izafah darj kiya gaya hai. Hukoomat ko chahiye ke wo sabzioun ki qeematoun mein kami ke iqdamaat kere. Doosri taraf kisanoun ka kehna hai ke ek taraf lockdown aur haliya dinoun mein huvi barish ke nateeja mein un ko mushkil sorat e haal ka saamna karna padha. Sabzioun ki muntaqili ke liye transport ki sahoolat nahi hai.