Rabat: Moroccan police ne coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarrar pabandion ki khilaaf warzi par dulha dulhan aur baration ko giraftar karliya.
Shadi morocco ke shumali shehar tatwaan mein munaqqid ki gayi thi. corona waba ki wajah se moroco mein shadion ki taqreeb munaqqid karne par pabandi hai.
Media ke mutabiq Bress tatwan Website ne ittila di hai ke giraftar shuda Dulha dulhan ne shadi ke mauqa par baqaida baarat ka intizam kiya, shehar ke markazi ilaqay mein mashhoor jagah al-hamama tak baarat le gaye taakay wahan yadgar tasaveer banava saken, Tatwaan shehar ke bashinday jab bhi shadi karte hain al-hamama mujasmay ke paas jaakar dulha dulhan ki yadgar tasweer zaroor banwate hain.
Yeh woh jagah hai jahan 1986 se safaid kabootarr ka mujasma bana hua hai.
Morocco police ne dulha dulhan ke sath baarat mein shaamil tamam mehmanon ko bhi giraftar karliya. poori baarat ko ain Khabaz ilaqay ke thaanay le jaya gaya. police ne bataya ke dulha dulhan ne shadi khamoshi se ki thi taham tasweer bananay ke shoq ne sara maamla kharab kardiya. muqami hukkaam ne dulha dulhan sameit tamam baration se pooch gach shuru kardi hai. corona waba se nimatnay ke liye pabandion ki khilaaf warzi ki baabat bayan liye jarahay hain.
Morocoan hukkaam nay July ke aakhir mein tatwaan samait 8 badey shehron mein lockdown kardiya gaya tha jahan corona virus ke mareez kaseer tadaad mein record par aaye thay.