Tuesday, May 7, 2024
HomeTrending NewsCorona ke mareezoun ka ilaaj karne wala Dr benaye se mahroom

Corona ke mareezoun ka ilaaj karne wala Dr benaye se mahroom

Cairo: Misri Dr Coronavirus ke mareezoun ka ilaaj karte karte khud virus ki zad mein aagaye aur apni benaye se mahroom hogaye hain. Media ke mutabiq Dr Mahmood Sami, Kafar Al Shaikh ke ek dawakhana mein corona ke mareezoun ke ilaaj par mamoor they. Dr Mahmood wabai amraaz ke maahir hain aur wo 7 din se belaa waqfa duty dainay par shadeed thakawat ka shikaar hogaye. Neend se beedar huve to pata chala ke benaye se mahroom ho chukay hain.
Dr Mahmood ne kaha ke 2 haftay qabal inhen saans lainay mein takleef ka ehsas huwa tha. Rafqayekar ki madad se seenay ka x-ray karwaya. Doctoroun ne itminan dilaya ke koi pareshani ki baat nahi hai is ke baad wo behosh hogaye.Cairo

Dr Mahmood ne kaha hai ke darasal Blood Pressure badh janay ki wajah se benaye ka nizaam mutasir hogaya tha isi ke nateejay mein wo benaye se mahroom hogaye. Dr Mahmood ke bamujab ke wo taweel muddat tak an 95 istemaal karte rahay. Kaam ka dabao bohat ziyada tha jabkay Ambaba Hospital se un ke paas Corona ke bohat saaray mareez muaina ke liye bhaij diye gaye. Wo un ka tibbi muaina karkay hadd se ziyada thakawat ka shekar hugaye. Isi douran inhen dil ka dora pada. Jis se aankh mein injmaad khoon ka aarzah la-haq hogaya aur bil-aakhir wo benaye se mahroom hogaye. –YTN STAFF