Thursday, May 9, 2024
HomeSliderCorona ke khilaaf Roos ka ilaaj, Saudi ke sath tajurbah karne ka...

Corona ke khilaaf Roos ka ilaaj, Saudi ke sath tajurbah karne ka faisla

Paris: Roos ne coronavirus ke liye umeed afza ne ilaaj tayyar karliya hai jis ki azmaish wo jald hi Saudi Arab ke mahireen sahet ki shiraakat mein karsaktha hai. Bartania mein cheeni safer Liu Xiaomin ne kaha hai ke China falah aama coronavirus ki dawa tayyar kerega jo duniya bhar ke taraqqi pazeer mumalik ke liye qabil rasai hogi.

Saudi Arab ke sath bohat se sarmaya kaari mansooboun mein taawun karne walay Roosi barah e raast sarmaya kaari fund ( RDIF ) ne kaha hai ke  Avifavir nami dawa, Jis ne tibbi aazmayshoun ke douran coronavirus ke mareezoun ke ilaaj mein aala ifadiyat ka muzahira kiya hai, Ne Roosi wizarat sahet se Registration Certificate haasil kiya tha.

RDIF ke Chief Executive Kirill Dmitriev ne kaha hai ke hum Saudi Arab ko Avifavir ki mumkina farahmi ke hawalay se apne Saudi shiraakat daaroun se baat cheet kar rahay hain. Hum ne Roos mein Clinical Trials ke misbet nataij un ke sath share kiye.

Hamaray shiraakat daaroun ne Saudi Arab mein  Avifavir ke clinical trial shuru karne mein dilchaspi ka izhaar kiya hai. Doosri janib Bartania mein cheeni safeer ne kaha hai ke ek martaba dawa dastyab hojaye to China usay falah aama banana chahta hai aur khasosan taraqqi pazeer mumalik ke liye dastyab karna chahta hai.

Unhoun ney mazeed kaha ke China ab adwiyaat ki tehqeeq ke muamlay mein jadeed tareen mumalik mein shaamil hai aur hum ab dosray marhalay mein hain. Hamaray paas pehlay hi aala Clinical trials hain lekin hum baqi duniya ke sath bantna chahtay hain. Dar haqeeqat China Bartania aur deegar mumalik ba-shamole America ke sath bhi kaam kar raha hai lekin Tobias Martin Ellwood MP  ney khabardaar kiya hai ke China Communist jamaat vaccine ko faida ke tor par istemaal kar sakti hai. –YTN STAFF