Hyderabad: Lockdown mein narmi ke elaan ke baad GHMC ki hudood mein corona ke mamlaat mein izafay ki wajah se reyasti hukoomat ab aglay kuch dinoun mein awaami maqamat par kuch pabandiyan sakht karne par khor karra hi hai. Yakam June se lockdown 5.0 ke wujood mein anay ke baad Hyderabad mein report honay walay misbet waqeat ki tadaad rozana 100 se kam nahi hai. Sirf yakam June ko hi riyasat ke dar-ul-hukoomat mein sab se ziyada 122 afraad ke nataij misbet aaye hain. Containment zone mein zurori iqdamaat karne ke bawajood virus ka phelao qaboo mein nahi aaraha hai.
Filhaal hukoomat ne Hyderabad mein 159 containment zone mein awam ki naqal o harkat par mukammal pabandi ayed kardi hai. Sab se ziyada 16 zone Uppal aur Santosh Nagar halqoun mein qaim huve, Amberpet mein 13 Containment zone aur Moosepet Circle mein 10 zone mein qareeb se mushahida kar rahay hain. Riyasat mein mehakma sahet kuch research wings ke sath mil kar shehar mein misbet mamlaat mein musalsal izafay ki wajohaat jan-nay ke liye zameeni satah ka muaina kar raha hai.
Chunkay aglay 2 dinoun mein Malls, Hotels aur mazhabi maqamat bhi khulnay ja rahay hain, Lehaza Chief Minister K Chandrashekhar Rao coronavirus ke baday pemanay par phelao ko roknay ke liye un iqdamaat ka jaiza le rahay hain. Aisa mehsoos kiya jata hai ke protocol par amal karne se logoun ki taraf se la parwahi misbet waqeat mein izafay ki ek wajah hai. Jaissa ke din ke waqt logoun ki naqal o harkat mamool par aa chuki hai, Yahan tak ke curfew ke auqaat ke douran shaam 9 bajey se subah 5 bajey tak loog aisay ghoom rahay hain jaisay koi curfew hi nahi hai. Ye bhi dekha gaya hai ke un mein se bohat se loog munasib Mask ka istemaal nahi kar rahay hain aur un mein se kuch bashmool senior sayasatdan usay thodhee ke ird gird pehnay huve hain aur naak khuli rehti hai. Awaami maqamat par maasharti faaslay ki bahaali ka fuqdaan hukoomat ke liye pareshani ka ek aur sabab hai. Lehaza ek senior ohdedar ne kaha ke logoun ki naqal o harkat par lag bhag ek hafta ke waqt mein kuch pabandiyan ayed karne ke liye sanjeeda khor jari hai. –YTN STAFF